Jis GhaDi Aql Ne Kuchh Hosh Mein Lana Chaha, Urdu Ghazal By Al Haaj Al Hafiz

Jis GhaDi Aql Ne Kuchh Hosh Mein Lana Chaha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Al Haaj Al Hafiz. Jis GhaDi Aql Ne Kuchh Hosh Mein Lana Chaha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jis GhaDi Aql Ne Kuchh Hosh Mein Lana Chaha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جس گھڑی عقل نے کچھ ہوش میں لانا چاہا

الحاج الحافظ

جس گھڑی عقل نے کچھ ہوش میں لانا چاہا

دل نے دیوانہ مجھے اور بنانا چاہا

دل سے مجبور ہوئے گرچہ بھلانا چاہا

راز الفت نہ چھپا لاکھ چھپانا چاہا

زہر سی چیز بھی ڈھونڈھے سے نہیں ہے ملتی

میں نے گھبرا کے کبھی زہر جو کھنا چاہا

اب تو جینا ہے بہر حال مجھے حین حیات

ظالم اس موت نے کیا کیا نہ بہانا چاہا

نیچی نظروں کے سلام آئے مسلسل اس دم

اٹھ کے محفل سے کبھی میں نے جو جانا چاہا

بخشی فطرت میں لچک کتنی خدا نے دیکھو

سر بلند اور ہوا جس نے گرانا چاہا

درد اندوہ الم اور جمے بیٹھے رہے

شام فرقت میں انہیں جتنا بھگانا چاہا

اس کی مٹی ہوئی برباد گیا جان سے وہ

جس نے کوچے میں ترے آ کے ٹھکانا چاہا

کون کہتا ہے کہ تدبیر سے تقدیر بنے

نہ بنی ہم نے اسے لاکھ بنانا چاہا

ایک ہم ہی تو نہیں اہل ہنر تھے پھر کیوں

اہل محفل نے مجھے صدر بنانا چاہا

یوں بھی فنکاروں میں دیوانؔ کی عزت ہے مگر

شاعری نے اسے کچھ اور بڑھانا چاہا

الحاج الحافظ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jis GhaDi Aql Ne Kuchh Hosh Mein Lana Chaha

Al Haaj Al Hafiz

jis ghaDi aql ne kuchh hosh mein lana chaha
dil ne diwana mujhe aur banana chaha

dil se majbur hue garche bhulana chaha
raaz-e-ulfat na chhupa lakh chhupana chaha

zahr si chiz bhi DhunDhe se nahin hai milti
main ne ghabra ke kabhi zahr jo khana chaha

ab to jina hai bahar-haal mujhe hin-e-hayat
zalim is maut ne kya kya na bahana chaha

nichi nazron ke salam aae musalsal us dam
uTh ke mahfil se kabhi main ne jo jaana chaha

baKHshi fitrat mein lachak kitni KHuda ne dekho
sar-buland aur hua jis ne girana chaha

dard andoh alam aur jame baiThe rahe
sham-e-furqat mein unhen jitna bhagana chaha

us ki miTTi hui barbaad gaya jaan se wo
jis ne kuche mein tere aa ke Thikana chaha

kaun kahta hai ki tadbir se taqdir bane
na bani hum ne use lakh banana chaha

ek hum hi to nahin ahl-e-hunar the phir kyon
ahl-e-mahfil ne mujhe sadr banana chaha

yun bhi fankaron mein 'diwan' ki izzat hai magar
shaeri ne use kuchh aur baDhana chaha

(467) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jis GhaDi Aql Ne Kuchh Hosh Mein Lana Chaha written by Al Haaj Al Hafiz at UrduPoint. Jis GhaDi Aql Ne Kuchh Hosh Mein Lana Chaha is one of the masterpieces written by Al Haaj Al Hafiz. You can also find the complete poetry collection of Al Haaj Al Hafiz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Al Haaj Al Hafiz' above.

Jis GhaDi Aql Ne Kuchh Hosh Mein Lana Chaha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jis GhaDi Aql Ne Kuchh Hosh Mein Lana Chaha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.