KHwab To Dekh Magar KHwab Ki Tabir Na Dekh, Urdu Ghazal By Alam Faizabadi

KHwab To Dekh Magar KHwab Ki Tabir Na Dekh is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Alam Faizabadi. KHwab To Dekh Magar KHwab Ki Tabir Na Dekh comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHwab To Dekh Magar KHwab Ki Tabir Na Dekh on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خواب تو دیکھ مگر خواب کی تعبیر نہ دیکھ

عالم فیض آبادی

خواب تو دیکھ مگر خواب کی تعبیر نہ دیکھ

کس طرح بنتی بگڑتی ہے یہ تقدیر نہ دیکھ

ڈھ نہ جائے کہیں الفت کا تری تاج محل

اس کی بنیاد کو دیکھ اوپری تعمیر نہ دیکھ

میں نے جو کچھ بھی کیا سب تری شہہ پا کے کیا

حشر کے روز فقط میری ہی تقصیر نہ دیکھ

اس کو پانا ہے تو پھر توڑ دے سارے بندھن

راہ میں اس کی کسی کو بھی عنا گیر نہ دیکھ

تجھ سا ظالم بھی نہ کھا جائے ترس دیکھ کہیں

دام میں اپنے تڑپتا ہوا نخچیر نہ دیکھ

کھینچ ابرو کی کماں اور چلا تیر پہ تیر

کتنے سینوں میں ہیں پیوست ترے تیر نہ دیکھ

ایک جھٹکے کی تو ہے بات مگر اس کا خیال

مجھ کو روکے ہے کہ تو جانب زنجیر نہ دیکھ

دیکھ عالمؔ ترا دل بھی نہ الجھ جائے کہیں

اس قدر دھیان سے تو زلف گرہ گیر نہ دیکھ

عالم فیض آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHwab To Dekh Magar KHwab Ki Tabir Na Dekh

Alam Faizabadi

KHwab to dekh magar KHwab ki tabir na dekh
kis tarah banti bigaDti hai ye taqdir na dekh

Dheh na jae kahin ulfat ka teri taj-mahal
is ki buniyaad ko dekh upri tamir na dekh

main ne jo kuchh bhi kiya sab teri shah pa ke kiya
hashr ke roz faqat meri hi taqsir na dekh

us ko pana hai to phir toD de sare bandhan
rah mein us ki kisi ko bhi ana-gir na dekh

tujh sa zalim bhi na kha jae taras dekh kahin
dam mein apne taDapta hua naKHchir na dekh

khinch abru ki kaman aur chala tir pe tir
kitne sinon mein hain paiwast tere tir na dekh

ek jhaTke ki to hai baat magar us ka KHayal
mujh ko roke hai ki tu jaanib-e-zanjir na dekh

dekh 'alam' tera dil bhi na ulajh jae kahin
is qadar dhyan se tu zulf-e-girah-gir na dekh

(702) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHwab To Dekh Magar KHwab Ki Tabir Na Dekh written by Alam Faizabadi at UrduPoint. KHwab To Dekh Magar KHwab Ki Tabir Na Dekh is one of the masterpieces written by Alam Faizabadi. You can also find the complete poetry collection of Alam Faizabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Alam Faizabadi' above.

KHwab To Dekh Magar KHwab Ki Tabir Na Dekh is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHwab To Dekh Magar KHwab Ki Tabir Na Dekh, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.