Dil Mein Jamal-e-yar Ki Tanwir Dekhiye, Urdu Ghazal By Alamgir Khan Kaif

Dil Mein Jamal-e-yar Ki Tanwir Dekhiye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Alamgir Khan Kaif. Dil Mein Jamal-e-yar Ki Tanwir Dekhiye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Mein Jamal-e-yar Ki Tanwir Dekhiye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل میں جمال یار کی تنویر دیکھیے

عالمگیر خان کیف

دل میں جمال یار کی تنویر دیکھیے

اس آئنے میں صورت تصویر دیکھیے

رسوا تمام خلق میں ہوں یا ذلیل ہوں

کیا دن دکھائے نالۂ شبگیر دیکھیے

بندہ کہاں جناب کہاں یہ مکاں کہاں

مقسوم دیکھیے مری تقدیر دیکھیے

اب کے جو ہول دل ہو تو یہ کیجئے علاج

سینے پہ رکھ کے یار کے تصویر دیکھیے

دروازہ کھولیے مجھے گھر میں بلائیے

کب سے ہلا رہا ہوں میں زنجیر دیکھیے

ہے قصر تن میں رعشۂ پیری سے زلزلہ

گرتی ہے کوئی دم میں یہ تعمیر دیکھیے

کوچے میں آپ کے مرے مٹی خراب ہے

برباد ہو رہی ہے یہ اکسیر دیکھیے

جلاد سے کہو کہ نہ پوچھے وصیتیں

ہوتی ہے میرے قتل میں تاخیر دیکھیے

محشر میں بھی ہوا نہ مرا ان کا فیصلہ

طول کلام و وسعت تقریر دیکھیے

دل آپ کا تو کیا ہے ابھی عرش تک ہلے

منظور ہو تو آہ کی تاثیر دیکھیے

بیمار ہو کے بوسۂ عناب لب لیا

مجھ کو نہ دیکھیے مری تدبیر دیکھیے

جب بوسہ مانگتا ہوں میں کرتے ہو حجتیں

اتنے سے منہ پہ اور یہ تقریر دیکھیے

پیری میں ہم کو عشق مژہ کا خیال ہے

ہوتی ہے یہ کمان ہدف تیر دیکھیے

منظور امتحان ہے بخشش کا آپ کے

کرتا ہوں کس امید پہ تقصیر دیکھیے

عالمگیر خان کیف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Mein Jamal-e-yar Ki Tanwir Dekhiye

Alamgir Khan Kaif

dil mein jamal-e-yar ki tanwir dekhiye
is aaine mein surat-e-taswir dekhiye

ruswa tamam KHalq mein hon ya zalil hon
kya din dikhae nala-e-shab-gir dekhiye

banda kahan janab kahan ye makan kahan
maqsum dekhiye meri taqdir dekhiye

ab ke jo haul-e-dil ho to ye kijiye ilaj
sine pe rakh ke yar ke taswir dekhiye

darwaza kholiye mujhe ghar mein bulaiye
kab se hila raha hun main zanjir dekhiye

hai qasr-e-tan mein rasha-e-piri se zalzala
girti hai koi dam mein ye tamir dekhiye

kuche mein aap ke mere miTTi KHarab hai
barbaad ho rahi hai ye iksir dekhiye

jallad se kaho ki na puchhe wasiyyaten
hoti hai mere qatl mein taKHir dekhiye

mahshar mein bhi hua na mera un ka faisla
tul-e-kalam-o-wusat-e-taqrir dekhiye

dil aap ka to kya hai abhi arsh tak hile
manzur ho to aah ki tasir dekhiye

bimar ho ke bosa-e-unnab-e-lab liya
mujh ko na dekhiye meri tadbir dekhiye

jab bosa mangta hun main karte ho hujjaten
itne se munh pe aur ye taqrir dekhiye

piri mein hum ko ishq-e-mizha ka KHayal hai
hoti hai ye kaman hadaf tir dekhiye

manzur imtihan hai baKHshish ka aap ke
karta hun kis umid pe taqsir dekhiye

(674) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Mein Jamal-e-yar Ki Tanwir Dekhiye written by Alamgir Khan Kaif at UrduPoint. Dil Mein Jamal-e-yar Ki Tanwir Dekhiye is one of the masterpieces written by Alamgir Khan Kaif. You can also find the complete poetry collection of Alamgir Khan Kaif by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Alamgir Khan Kaif' above.

Dil Mein Jamal-e-yar Ki Tanwir Dekhiye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Mein Jamal-e-yar Ki Tanwir Dekhiye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.