Fasl-e-gul Mein Bhi Wahi Daur-e-KHizan Hai Ab Ke, Urdu Ghazal By Ali Abbas Ummeed

Fasl-e-gul Mein Bhi Wahi Daur-e-KHizan Hai Ab Ke is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ali Abbas Ummeed. Fasl-e-gul Mein Bhi Wahi Daur-e-KHizan Hai Ab Ke comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Fasl-e-gul Mein Bhi Wahi Daur-e-KHizan Hai Ab Ke on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فصل گل میں بھی وہی دور خزاں ہے اب کے

علی عباس امید

فصل گل میں بھی وہی دور خزاں ہے اب کے

کیسا غم وقت کے چہرے سے عیاں ہے اب کے

مشعلیں ہیں نہ دھواں ہے نہ صدائے ناقوس

کیا خبر قافلۂ درد کہاں ہے اب کے

زندگی وقت کے در تک جسے لے آئی تھی

دھندلا دھندلا اسی انساں کا نشاں ہے اب کے

چارہ گر رحم نہ کر اس کی ضرورت کیا ہے

میرا ہر زخم مرے دل کی زباں ہے اب کے

لالہ زاروں سے تو گل رنگ لپٹ آتی تھی

دل کے ویرانے میں ہر سمت دھواں ہے اب کے

مجھ پہ وہ سانحہ گزرا ہے اسیران قفس

اپنے سائے سے بھی وحشت کا گماں ہے اب کے

سر بہ زانو تھیں تمنائیں نہ جانے کب سے

چشم امیدؔ بھی خوں نابہ فشاں ہے اب کے

علی عباس امید

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Fasl-e-gul Mein Bhi Wahi Daur-e-KHizan Hai Ab Ke

Ali Abbas Ummeed

fasl-e-gul mein bhi wahi daur-e-KHizan hai ab ke
kaisa gham waqt ke chehre se ayan hai ab ke

mishalen hain na dhuan hai na sada-e-naqus
kya KHabar qafila-e-dard kahan hai ab ke

zindagi waqt ke dar tak jise le aai thi
dhundla dhundla isi insan ka nishan hai ab ke

chaaragar rahm na kar is ki zarurat kya hai
mera har zaKHm mere dil ki zaban hai ab ke

lala-zaron se to gul-rang lipaT aati thi
dil ke virane mein har samt dhuan hai ab ke

mujh pe wo saneha guzra hai asiran-e-qafas
apne sae se bhi wahshat ka guman hai ab ke

sar-ba-zanu thin tamannaen na jaane kab se
chashm-e-'umid' bhi KHun-naba-fashan hai ab ke

(1279) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Fasl-e-gul Mein Bhi Wahi Daur-e-KHizan Hai Ab Ke written by Ali Abbas Ummeed at UrduPoint. Fasl-e-gul Mein Bhi Wahi Daur-e-KHizan Hai Ab Ke is one of the masterpieces written by Ali Abbas Ummeed. You can also find the complete poetry collection of Ali Abbas Ummeed by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ali Abbas Ummeed' above.

Fasl-e-gul Mein Bhi Wahi Daur-e-KHizan Hai Ab Ke is a widely read Urdu Ghazal. If you like Fasl-e-gul Mein Bhi Wahi Daur-e-KHizan Hai Ab Ke, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.