Gira Ke Bughz-o-hasad Dushmani Ka Darwaza, Urdu Ghazal By Ali Afzal Jhanjhanvi

Gira Ke Bughz-o-hasad Dushmani Ka Darwaza is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ali Afzal Jhanjhanvi. Gira Ke Bughz-o-hasad Dushmani Ka Darwaza comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gira Ke Bughz-o-hasad Dushmani Ka Darwaza on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گرا کے بغض و حسد دشمنی کا دروازہ

علی افضل جھنجھانوی

گرا کے بغض و حسد دشمنی کا دروازہ

تو اپنے دل میں لگا دوستی کا دروازہ

حسین ابن علی مجھ کو یاد آتے ہیں

میں جب بھی دیکھتا ہوں تشنگی کا دروازہ

یہ سوچ کر میں مصیبت پہ شکر کرتا ہوں

ملے گا ایک نہ اک دن خوشی کا دروازہ

جدھر بھی دیکھوں ادھر ہی ہے مغربی تہذیب

نہ جانے گم ہے کہاں سادگی کا دروازہ

خدائے پاک انہیں سرفراز کرتا ہے

تلاش کرتے ہیں جو عاجزی کا دروازہ

قدم قدم پہ مصیبت اٹھا کے کھلتا ہے

بڑا ہی سخت ہے یہ زندگی کا دروازہ

خدا کے فضل سے میں کہنہ مشق شاعر ہوں

نہ میں نے دیکھا کبھی خامشی کا دروازہ

قسم خدا کی مجھے تم دکھائی دیتے ہو

میں جب بھی کھولتا ہوں شاعری کا دروازہ

اندھیرے ہوتے ہیں اس کی ہی زندگانی میں

جو ڈھونڈ سکتا نہیں روشنی کا دروازہ

کسی کے عشق میں برباد ہو گیا افضلؔ

مگر نہ توڑ سکا عاشقی کا دروازہ

علی افضل جھنجھانوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gira Ke Bughz-o-hasad Dushmani Ka Darwaza

Ali Afzal Jhanjhanvi

gira ke bughz-o-hasad dushmani ka darwaza
tu apne dil mein laga dosti ka darwaza

husain ibn-e-ali mujh ko yaad aate hain
main jab bhi dekhta hun tishnagi ka darwaza

ye soch kar main musibat pe shukr karta hun
milega ek na ek din KHushi ka darwaza

jidhar bhi dekhun udhar hi hai maghribi tahzib
na jaane gum hai kahan sadgi ka darwaza

KHuda-e-pak unhen sarfaraaz karta hai
talash karte hain jo aajizi ka darwaza

qadam qadam pe musibat uTha ke khulta hai
baDa hi saKHt hai ye zindagi ka darwaza

KHuda ke fazl se main kohna-mashq shair hun
na main ne dekha kabhi KHamushi ka darwaza

qasam KHuda ki mujhe tum dikhai dete ho
main jab bhi kholta hun shaeri ka darwaza

andhere hote hain us ki hi zindagani mein
jo DhunD sakta nahin raushni ka darwaza

kisi ke ishq mein barbaad ho gaya 'afzal'
magar na toD saka aashiqi ka darwaza

(706) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gira Ke Bughz-o-hasad Dushmani Ka Darwaza written by Ali Afzal Jhanjhanvi at UrduPoint. Gira Ke Bughz-o-hasad Dushmani Ka Darwaza is one of the masterpieces written by Ali Afzal Jhanjhanvi. You can also find the complete poetry collection of Ali Afzal Jhanjhanvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ali Afzal Jhanjhanvi' above.

Gira Ke Bughz-o-hasad Dushmani Ka Darwaza is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gira Ke Bughz-o-hasad Dushmani Ka Darwaza, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.