Mujhe KHabar Hai Mujhe Yaqin Hai, Urdu Nazam By Ambar Bahraichi

Mujhe KHabar Hai Mujhe Yaqin Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Ambar Bahraichi. Mujhe KHabar Hai Mujhe Yaqin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Mujhe KHabar Hai Mujhe Yaqin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مجھے خبر ہے مجھے یقیں ہے

عنبر بہرائچی

مجھے خبر ہے

یہ آبنوسی چٹان جو دوب کے سبز تختے پہ آ گری ہے

نئی سبک نرم پتیوں کا سنگھار پی کر

سنہرے لمحوں کی سانس میں پھانس بن کر اٹک گئی ہے

مجھے یقیں ہے

کہ موسموں کے طلسم یہ تیرگی اڑا کر

اسی سلگتی چٹان پر دوب کی سبز زلفیں بکھیر دیں گے

مجھے یقیں ہے

مرے کٹے بازوؤں کی طاقت مری رگوں سے نہیں گئی ہے

مرے لہو کے یہ سرخ دھارے نئی حکایت کے پیش رو ہیں

نئی امنگوں نئے اجالوں نئے شفق زار کے امیں ہیں

مجھے خبر ہے

کہ غول چڑیوں کے لشکر ابرہہ کی اب کچھ خبر نہ لیں گے

ہماری آنکھوں میں روشنی ہے مگر دلوں میں سیاہیاں ہیں

اداسیوں کے گھنے دھویں میں چھپی ہوئی کامرانیاں ہیں

مجھے یقیں ہے

کہ اس فضا میں فراز صحرائے بے اماں ہیں

ہزاروں معصوم ایڑیاں رگڑ چکے ہیں رگڑ رہے ہیں

ابل پڑے گا ضرور کوئی حیات افروز آب شیریں

صداقتوں کے بہار زاروں کو آخرش تازگی ملے گی

مجھے خبر ہے مجھے یقیں ہے

عنبر بہرائچی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mujhe KHabar Hai Mujhe Yaqin Hai

Ambar Bahraichi

mujhe KHabar hai
ye aabnusi chaTTan jo dub ke sabz taKHte pe aa giri hai
nai subuk narm pattiyon ka singhaar pi kar
sunahre lamhon ki sans mein phans ban kar aTak gai hai
mujhe yaqin hai
ki mausamon ke tilism ye tirgi uDa kar
isi sulagti chaTTan par dub ki sabz zulfen bikher denge
mujhe yaqin hai
mere kaTe bazuon ki taqat meri ragon se nahin gai hai
mere lahu ke ye surKH dhaare nai hikayat ke pesh-rau hain
nai umangon nae ujalon nae shafaq-zar ke amin hain
mujhe KHabar hai
ki ghol chiDiyon ke lashkar-e-abrha ki ab kuchh KHabar na lenge
hamari aankhon mein raushni hai magar dilon mein siyahiyan hain
udasiyon ke ghane dhuwen mein chhupi hui kaamraniyan hain
mujhe yaqin hai
ki is faza mein faraaz-e-sahra-e-be-aman hain
hazaron masum eDiyan ragaD chuke hain ragaD rahe hain
ubal paDega zarur koi hayat-afroz aab-e-shirin
sadaqaton ke bahaar-zaron ko aaKHirash tazgi milegi
mujhe KHabar hai mujhe yaqin hai

(691) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mujhe KHabar Hai Mujhe Yaqin Hai written by Ambar Bahraichi at UrduPoint. Mujhe KHabar Hai Mujhe Yaqin Hai is one of the masterpieces written by Ambar Bahraichi. You can also find the complete poetry collection of Ambar Bahraichi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ambar Bahraichi' above.

Mujhe KHabar Hai Mujhe Yaqin Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Mujhe KHabar Hai Mujhe Yaqin Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.