Kaha Jo Maine Ki Yusuf Ko Ye Hijab Na Tha, Urdu Ghazal By Ameer Minai

Kaha Jo Maine Ki Yusuf Ko Ye Hijab Na Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ameer Minai. Kaha Jo Maine Ki Yusuf Ko Ye Hijab Na Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kaha Jo Maine Ki Yusuf Ko Ye Hijab Na Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کہا جو میں نے کہ یوسف کو یہ حجاب نہ تھا

امیر مینائی

کہا جو میں نے کہ یوسف کو یہ حجاب نہ تھا

تو ہنس کے بولے وہ منہ قابل نقاب نہ تھا

شب وصال بھی وہ شوخ بے حجاب نہ تھا

نقاب الٹ کے بھی دیکھا تو بے نقاب نہ تھا

لپٹ کے چوم لیا منہ مٹا دیا ان کا

نہیں کا ان کے سوا اس کے کچھ جواب نہ تھا

مرے جنازے پہ اب آتے شرم آتی ہے

حلال کرنے کو بیٹھے تھے جب حجاب نہ تھا

نصیب جاگ اٹھے سو گئے جو پاؤں مرے

تمہارے کوچے سے بہتر مقام خواب نہ تھا

غضب کیا کہ اسے تو نے محتسب توڑا

ارے یہ دل تھا مرا شیشۂ شراب نہ تھا

زمانہ وصل میں لیتا ہے کروٹیں کیا کیا

فراق یار کے دن ایک انقلاب نہ تھا

تمہیں نے قتل کیا ہے مجھے جو تنتے ہو

اکیلے تھے ملک الموت ہم رکاب نہ تھا

دعائے توبہ بھی ہم نے پڑھی تو مے پی کر

مزہ ہی ہم کو کسی شے کا بے شراب نہ تھا

میں روئے یار کا مشتاق ہو کے آیہ تھا

ترے جمال کا شیدا تو اے نقاب نہ تھا

بیان کی جو شب غم کی بیکسی تو کہا

جگر میں درد نہ تھا دل میں اضطراب نہ تھا

وہ بیٹھے بیٹھے جو دے بیٹھے قتل عام کا حکم

ہنسی تھی ان کی کسی پر کوئی عتاب نہ تھا

جو لاش بھیجی تھی قاصد کی بھیجتے خط بھی

رسید وہ تو مرے خط کی تھی جواب نہ تھا

سرور قتل سے تھی ہاتھ پاؤں کو جنبش

وہ مجھ پہ وجد کا عالم تھا اضطراب نہ تھا

ثبات بحر جہاں میں نہیں کسی کو امیرؔ

ادھر نمود ہوا اور ادھر حباب نہ تھا

امیر مینائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kaha Jo Maine Ki Yusuf Ko Ye Hijab Na Tha

Ameer Minai

kaha jo main ne ki yusuf ko ye hijab na tha
to hans ke bole wo munh qabil-e-naqab na tha

shab-e-visal bhi wo shoKH be-hijab na tha
naqab ulaT ke bhi dekha to be-naqab na tha

lipaT ke chum liya munh miTa diya un ka
nahin ka un ke siwa is ke kuchh jawab na tha

mere janaze pe ab aate sharm aati hai
halal karne ko baiThe the jab hijab na tha

nasib jag uThe so gae jo panw mere
tumhaare kuche se behtar maqam-e-KHwab na tha

ghazab kiya ki ise tu ne mohtasib toDa
are ye dil tha mera shisha-e-sharab na tha

zamana wasl mein leta hai karwaTen kya kya
firaq-e-yar ke din ek inqalab na tha

tumhin ne qatl kiya hai mujhe jo tante ho
akele the malak-ul-maut ham-rikab na tha

dua-e-tauba bhi hum ne paDhi to mai pi kar
maza hi hum ko kisi shai ka be-sharab na tha

main ru-e-yar ka mushtaq ho ke aaya tha
tere jamal ka shaida to ai naqab na tha

bayan ki jo shab-e-gham ki bekasi to kaha
jigar mein dard na tha dil mein iztirab na tha

wo baiThe baiThe jo de baiThe qatl-e-am ka hukm
hansi thi un ki kisi par koi itab na tha

jo lash bheji thi qasid ki bhejte KHat bhi
rasid wo to mere KHat ki thi jawab na tha

surur-e-qatl se thi hath panw ko jumbish
wo mujh pe wajd ka aalam tha iztirab na tha

sabaat bahr-e-jahan mein nahin kisi ko 'amir'
idhar numud hua aur udhar hubab na tha

(701) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kaha Jo Maine Ki Yusuf Ko Ye Hijab Na Tha written by Ameer Minai at UrduPoint. Kaha Jo Maine Ki Yusuf Ko Ye Hijab Na Tha is one of the masterpieces written by Ameer Minai. You can also find the complete poetry collection of Ameer Minai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ameer Minai' above.

Kaha Jo Maine Ki Yusuf Ko Ye Hijab Na Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kaha Jo Maine Ki Yusuf Ko Ye Hijab Na Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.