Kuchh Khaar Hi Nahin Mere Daman Ke Yar Hain, Urdu Ghazal By Ameer Minai

Kuchh Khaar Hi Nahin Mere Daman Ke Yar Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ameer Minai. Kuchh Khaar Hi Nahin Mere Daman Ke Yar Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kuchh Khaar Hi Nahin Mere Daman Ke Yar Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کچھ خار ہی نہیں مرے دامن کے یار ہیں

امیر مینائی

کچھ خار ہی نہیں مرے دامن کے یار ہیں

گردن میں طوق بھی تو لڑکپن کے یار ہیں

سینہ ہو کشتگان محبت کا یا گلا

دونوں یہ تیرے خنجر آہن کے یار ہیں

خاطر ہماری کرتا ہے دیر و حرم میں کون

ہم تو نہ شیخ کے نہ برہمن کے یار ہیں

کیا پوچھتا ہے مجھ سے نشاں سیل و برق کا

دونوں قدیم سے مرے خرمن کے یار ہیں

کیا گرم ہیں کہ کہتے ہیں خوبان لکھنؤ

لندن کو جائیں وہ جو فرنگن کے یار ہیں

وہ دشمنی کریں تو کریں اختیار ہے

ہم تو عدو کے دوست ہیں دشمن کے یار ہیں

کچھ اس چمن میں سبزۂ بیگانہ ہم نہیں

نرگس کے دوست لالہ و سوسن کے یار ہیں

کانٹے ہیں جتنے وادئ غربت کے اے جنوں

سب آستیں کے جیب کے دامن کے یار ہیں

گم گشتگی میں راہ بتاتا ہے ہم کو کون

ہے خضر جن کا نام وہ رہزن کے یار ہیں

چلتے ہیں شوق برق تجلی میں کیا ہے خوف

چیتے تمام وادیٔ ایمن کے یار ہیں

پیری مجھے چھڑاتی ہے احباب سے امیرؔ

دنداں نہیں یہ میرے لڑکپن کے یار ہیں

امیر مینائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kuchh Khaar Hi Nahin Mere Daman Ke Yar Hain

Ameer Minai

kuchh KHar hi nahin mere daman ke yar hain
gardan mein tauq bhi to laDakpan ke yar hain

sina ho kushtagan-e-mohabbat ka ya gala
donon ye tere KHanjar-e-ahan ke yar hain

KHatir hamari karta hai dair-o-haram mein kaun
hum to na shaiKH ke na barahman ke yar hain

kya puchhta hai mujh se nishan sail-o-barq ka
donon qadim se mere KHirman ke yar hain

kya garm hain ki kahte hain KHuban-e-lucknow
london ko jaen wo jo firangan ke yar hain

wo dushmani karen to karen iKHtiyar hai
hum to adu ke dost hain dushman ke yar hain

kuchh is chaman mein sabza-e-begana hum nahin
nargis ke dost lala-o-sausan ke yar hain

kanTe hain jitne wadi-e-ghurbat ke ai junun
sab aastin ke jeb ke daman ke yar hain

gum-gashtagi mein rah batata hai hum ko kaun
hai KHizr jin ka nam wo rahzan ke yar hain

chalte hain shauq-e-barq-e-tajalli mein kya hai KHauf
chite tamam wadi-e-aiman ke yar hain

piri mujhe chhuDati hai ahbab se 'amir'
dandan nahin ye mere laDakpan ke yar hain

(736) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kuchh Khaar Hi Nahin Mere Daman Ke Yar Hain written by Ameer Minai at UrduPoint. Kuchh Khaar Hi Nahin Mere Daman Ke Yar Hain is one of the masterpieces written by Ameer Minai. You can also find the complete poetry collection of Ameer Minai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ameer Minai' above.

Kuchh Khaar Hi Nahin Mere Daman Ke Yar Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kuchh Khaar Hi Nahin Mere Daman Ke Yar Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.