Mere Sajda-e-ha-e-niyaz Ko Tere Aastan Ki Talash Hai, Urdu Ghazal By Ameer Raza Mazhari

Mere Sajda-e-ha-e-niyaz Ko Tere Aastan Ki Talash Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ameer Raza Mazhari. Mere Sajda-e-ha-e-niyaz Ko Tere Aastan Ki Talash Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mere Sajda-e-ha-e-niyaz Ko Tere Aastan Ki Talash Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مرے سجدہ ہائے نیاز کو ترے آستاں کی تلاش ہے

امیر رضا مظہری

مرے سجدہ ہائے نیاز کو ترے آستاں کی تلاش ہے

کسی فرد کی یہ طلب نہیں یہ تو اک جہاں کی تلاش ہے

نئی سرزمیں کی ہے جستجو نئے آسماں کی تلاش ہے

جو مکاں بھی ٹھیک نہ رکھ سکے انہیں لا مکاں کی تلاش ہے

مرے پائے شوق سفر میں ہیں ابھی راہ و رسم کی بندشیں

مجھے نقش پا کی ہے جستجو مجھے کارواں کی تلاش ہے

جو خزاں نصیب ازل کے ہیں انہیں فصل گل کی ہے آرزو

وہ جو تھک چکے ہیں بہار سے انہیں اب خزاں کی تلاش ہے

یہ مرا کمال مصوری یہ مرا شعور صنم گری

ابھی ذوق حسن کثیف ہے اسے جسم و جاں کی تلاش ہے

مری زندگی کا فسانہ کیا جو سناؤں شوق سے آپ کو

کسی مہرباں کی تلاش تھی کسی مہرباں کی تلاش ہے

جو قفس سے چھوٹ کے آئے ہم کسی شاخ نے بھی جگہ نہ دی

ہیں چمن میں آ کے بھی بے نوا ہمیں آشیاں کی تلاش ہے

ابھی قرض ان کی نظر پہ ہے ترے جلوہ ہائے مجاز کا

جو حقیقتوں سے گزر چکے انہیں داستاں کی تلاش ہے

ترے دشمنوں کی صفوں پہ یہ کسی دور میں نہ چمک سکی

تری تیغ ناز کی آج تک سر دوستاں کی تلاش ہے

خس و خار کو بھی جو دئے رضاؔ تر و تازہ رہنے کا حوصلہ

اسی باغباں کی ہے آرزو اسی گلستاں کی تلاش ہے

امیر رضا مظہری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mere Sajda-e-ha-e-niyaz Ko Tere Aastan Ki Talash Hai

Ameer Raza Mazhari

mere sajda-e-ha-e-niyaz ko tere aastan ki talash hai
kisi fard ki ye talab nahin ye to ek jahan ki talash hai

nai sarzamin ki hai justuju nae aasman ki talash hai
jo makan bhi Thik na rakh sake unhen la-makan ki talash hai

mere pa-e-shauq-e-safar mein hain abhi rah-o-rasm ki bandishen
mujhe naqsh-e-pa ki hai justuju mujhe karwan ki talash hai

jo KHizan-nasib azal ke hain unhen fasl-e-gul ki hai aarzu
wo jo thak chuke hain bahaar se unhen ab KHizan ki talash hai

ye mera kamal-e-musawwari ye mera shuur-e-sanam-gari
abhi zauq husn-e-kasif hai ise jism-o-jaan ki talash hai

meri zindagi ka fasana kya jo sinaon shauq se aap ko
kisi mehrban ki talash thi kisi mehrban ki talash hai

jo qafas se chhuT ke aae hum kisi shaKH ne bhi jagah na di
hain chaman mein aa ke bhi be-nawa hamein aashiyan ki talash hai

abhi qarz un ki nazar pe hai tere jalwa-ha-e-majaz ka
jo haqiqaton se guzar chuke unhen dastan ki talash hai

tere dushmanon ki safon pe ye kisi daur mein na chamak saki
teri tegh-e-naz ki aaj tak sar-e-dostan ki talash hai

KHas-o-KHar ko bhi jo diye 'raza' tar-o-taza rahne ka hausla
usi baghban ki hai aarzu usi gulistan ki talash hai

(935) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mere Sajda-e-ha-e-niyaz Ko Tere Aastan Ki Talash Hai written by Ameer Raza Mazhari at UrduPoint. Mere Sajda-e-ha-e-niyaz Ko Tere Aastan Ki Talash Hai is one of the masterpieces written by Ameer Raza Mazhari. You can also find the complete poetry collection of Ameer Raza Mazhari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ameer Raza Mazhari' above.

Mere Sajda-e-ha-e-niyaz Ko Tere Aastan Ki Talash Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mere Sajda-e-ha-e-niyaz Ko Tere Aastan Ki Talash Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.