Ishq Maine Likh Dala Qaumiyat Ke KHane Mein, Urdu Ghazal By Amir Ameer

Ishq Maine Likh Dala Qaumiyat Ke KHane Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Amir Ameer. Ishq Maine Likh Dala Qaumiyat Ke KHane Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ishq Maine Likh Dala Qaumiyat Ke KHane Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عشق میں نے لکھ ڈالا قومیت کے خانے میں

عامر امیر

عشق میں نے لکھ ڈالا قومیت کے خانے میں

اور تیرا دل لکھا شہریت کے خانے میں

مجھ کو تجربوں نے ہی باپ بن کے پالا ہے

سوچتا ہوں کیا لکھوں ولدیت کے خانے میں

میرا ساتھ دیتی ہے میرے ساتھ رہتی ہے

میں نے لکھا تنہائی زوجیت کے خانے میں

دوستوں سے جا کر جب مشورہ کیا تو پھر

میں نے کچھ نہیں لکھا حیثیت کے خانے میں

امتحاں محبت کا پاس کر لیا میں نے

اب یہی میں لکھوں گا اہلیت کے خانے میں

جب سے آپ میرے ہیں فخر سے میں لکھتا ہوں

نام آپ کا اپنی ملکیت کے خانے میں

عامر امیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ishq Maine Likh Dala Qaumiyat Ke KHane Mein

Amir Ameer

ishq main ne likh Dala qaumiyat ke KHane mein
aur tera dil likha shahriyat ke KHane mein

mujh ko tajrabon ne hi bap ban ke pala hai
sochta hun kya likhun waldiyat ke KHane mein

mera sath deti hai mere sath rahti hai
main ne likha tanhai zaujiyat ke KHane mein

doston se ja kar jab mashwara kiya to phir
main ne kuchh nahin likha haisiyat ke KHane mein

imtihan mohabbat ka pas kar liya main ne
ab yahi main likhunga ahliyat ke KHane mein

jab se aap mere hain faKHr se main likhta hun
nam aap ka apni milkiyat ke KHane mein

(2367) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ishq Maine Likh Dala Qaumiyat Ke KHane Mein written by Amir Ameer at UrduPoint. Ishq Maine Likh Dala Qaumiyat Ke KHane Mein is one of the masterpieces written by Amir Ameer. You can also find the complete poetry collection of Amir Ameer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Amir Ameer' above.

Ishq Maine Likh Dala Qaumiyat Ke KHane Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ishq Maine Likh Dala Qaumiyat Ke KHane Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.