Badan Ke Luqma-e-tar Ko Haram Kar Liya Hai, Urdu Ghazal By Amir Hamza Saqib

Badan Ke Luqma-e-tar Ko Haram Kar Liya Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Amir Hamza Saqib. Badan Ke Luqma-e-tar Ko Haram Kar Liya Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Badan Ke Luqma-e-tar Ko Haram Kar Liya Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بدن کے لقمۂ تر کو حرام کر لیا ہے

امیر حمزہ ثاقب

بدن کے لقمۂ تر کو حرام کر لیا ہے

کہ خوان روح پہ جب سے طعام کر لیا ہے

بتاؤ اڑتی ہے بازار جاں میں خاک بہت

بتاؤ کیا ہمیں اپنا غلام کر لیا ہے

یہ آستانۂ حسرت ہے ہم بھی جانتے ہیں

دیا جلا دیا ہے اور سلام کر لیا ہے

مکاں اجاڑ تھا اور لا مکاں کی خواہش تھی

سو اپنے آپ سے باہر قیام کر لیا ہے

بس اب تمام ہو یہ وہم و اعتبار کا کھیل

بساط الٹ دی سبھی سارا کام کر لیا ہے

کسی سے خواہش گفتار تھی مگر ثاقبؔ

وفور شوق میں خود سے کلام کر لیا ہے

امیر حمزہ ثاقب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Badan Ke Luqma-e-tar Ko Haram Kar Liya Hai

Amir Hamza Saqib

badan ke luqma-e-tar ko haram kar liya hai
ki KHwan-e-ruh pe jab se taam kar liya hai

batao uDti hai bazar-e-jaan mein KHak bahut
batao kya hamein apna ghulam kar liya hai

ye aastana-e-hasrat hai hum bhi jaante hain
diya jala diya hai aur salam kar liya hai

makan ujaD tha aur la-makan ki KHwahish thi
so apne aap se bahar qayam kar liya hai

bas ab tamam ho ye wahm o e'tibar ka khel
bisat ulaT di sabhi sara kaam kar liya hai

kisi se KHwahish-e-guftar thi magar 'saqib'
wufur-e-shauq mein KHud se kalam kar liya hai

(938) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Badan Ke Luqma-e-tar Ko Haram Kar Liya Hai written by Amir Hamza Saqib at UrduPoint. Badan Ke Luqma-e-tar Ko Haram Kar Liya Hai is one of the masterpieces written by Amir Hamza Saqib. You can also find the complete poetry collection of Amir Hamza Saqib by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Amir Hamza Saqib' above.

Badan Ke Luqma-e-tar Ko Haram Kar Liya Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Badan Ke Luqma-e-tar Ko Haram Kar Liya Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.