Saba Banate Hain Ghuncha-dahan Banate Hain, Urdu Ghazal By Amir Hamza Saqib

Saba Banate Hain Ghuncha-dahan Banate Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Amir Hamza Saqib. Saba Banate Hain Ghuncha-dahan Banate Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Saba Banate Hain Ghuncha-dahan Banate Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

صبا بناتے ہیں غنچہ دہن بناتے ہیں

امیر حمزہ ثاقب

صبا بناتے ہیں غنچہ دہن بناتے ہیں

تمہارے واسطے کیا کیا سخن بناتے ہیں

سنان و تیر کی لذت لہو میں رم کرے ہے

ہم اپنے آپ کو کس کا ہرن بناتے ہیں

یہ دھج کھلاتی ہے کیا گل ذرا پتا تو چلے

کہ خاک پا کو تری پیرہن بناتے ہیں

وہ گل عذار ادھر آئے گا سو داغوں سے

ہم اپنے سینے کو رشک چمن بناتے ہیں

شہید ناز غضب کے ہنر وراں نکلے

لہو کے چھینٹوں سے اپنا کفن بناتے ہیں

تمہاری ذات حوالہ ہے سرخ روئی کا

تمہارے ذکر کو سب شرط فن بناتے ہیں

امیر حمزہ ثاقب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Saba Banate Hain Ghuncha-dahan Banate Hain

Amir Hamza Saqib

saba banate hain ghuncha-dahan banate hain
tumhaare waste kya kya suKHan banate hain

sinan o tir ki lazzat lahu mein ram kare hai
hum apne aap ko kis ka hiran banate hain

ye dhaj khilati hai kya gul zara pata to chale
ki KHak-e-pa ko teri pairahan banate hain

wo gul-izar idhar aaega sau daghon se
hum apne sine ko rashk-e-chaman banate hain

shahid-e-naz ghazab ke hunar-waran nikle
lahu ke chhinTon se apna kafan banate hain

tumhaari zat hawala hai surKH-rui ka
tumhaare zikr ko sab shart-e-fan banate hain

(806) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Saba Banate Hain Ghuncha-dahan Banate Hain written by Amir Hamza Saqib at UrduPoint. Saba Banate Hain Ghuncha-dahan Banate Hain is one of the masterpieces written by Amir Hamza Saqib. You can also find the complete poetry collection of Amir Hamza Saqib by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Amir Hamza Saqib' above.

Saba Banate Hain Ghuncha-dahan Banate Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Saba Banate Hain Ghuncha-dahan Banate Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.