Meri Baat Ka Jo Yaqin Nahin Mujhe Aazma Ke Bhi Dekh Le, Urdu Ghazal By Anand Narayan Mulla

Meri Baat Ka Jo Yaqin Nahin Mujhe Aazma Ke Bhi Dekh Le is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anand Narayan Mulla. Meri Baat Ka Jo Yaqin Nahin Mujhe Aazma Ke Bhi Dekh Le comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Meri Baat Ka Jo Yaqin Nahin Mujhe Aazma Ke Bhi Dekh Le on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مری بات کا جو یقیں نہیں مجھے آزما کے بھی دیکھ لے

آنند نرائن ملا

مری بات کا جو یقیں نہیں مجھے آزما کے بھی دیکھ لے

تجھے دل تو کب کا میں دے چکا اسے غم بنا کے بھی دیکھ لے

یہ تو ٹھیک ہے کہ تری جفا بھی اک عطا مرے واسطے

مری حسرتوں کی قسم تجھے کبھی مسکرا کے بھی دیکھ لے

مرا دل الگ ہے بجھا سا کچھ ترے حسن پر بھی چمک نہیں

کبھی ایک مرکز زیست پر انہیں ساتھ لا کے بھی دیکھ لے

مرے شوق کی ہیں وہی ضدیں ابھی لب پہ ہے وہی التجا

کبھی اس جلے ہوئے طور پر مجھے پھر بلا کے بھی دیکھ لے

نہ مٹے گا نقش وفا کبھی نہ مٹے گا ہاں نہ مٹے گا یہ

کسی اور کی تو مجال کیا اسے خود مٹا کے بھی دیکھ لے

کسی گل فسردۂ باغ ہوں مرے لب ہنسی کو بھلا چکے

تجھے اے صبا جو نہ ہو یقیں مجھے گدگدا کے بھی دیکھ لے

مرے دل میں تو ہی ہے جلوہ گر ترا آئنہ ہوں میں سربسر

یوں ہی دور ہی سے نظر نہ کر کبھی پاس آ کے بھی دیکھ لے

مرے ظرف عشق پہ شک نہ کر مرے حرف شوق کو بھول جا

جو یہی حجاب ہے درمیاں یہ حجاب اٹھا کے بھی دیکھ لے

یہ جہان ہے اسے کیا پڑی ہے جو یہ سنے تری داستاں

تجھے پھر بھی ملاؔ اگر ہے ضد غم دل سنا کے بھی دیکھ لے

آنند نرائن ملا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Meri Baat Ka Jo Yaqin Nahin Mujhe Aazma Ke Bhi Dekh Le

Anand Narayan Mulla

meri baat ka jo yaqin nahin mujhe aazma ke bhi dekh le
tujhe dil to kab ka main de chuka use gham bana ke bhi dekh le

ye to Thik hai ki teri jafa bhi ek ata mere waste
meri hasraton ki qasam tujhe kabhi muskura ke bhi dekh le

mera dil alag hai bujha sa kuchh tere husn par bhi chamak nahin
kabhi ek markaz-e-zist par unhen sath la ke bhi dekh le

mere shauq ki hain wahi ziden abhi lab pe hai wahi iltija
kabhi is jale hue tur par mujhe phir bula ke bhi dekh le

na miTega naqsh-e-wafa kabhi na miTega han na miTega ye
kisi aur ki to majal kya use KHud miTa ke bhi dekh le

kisi gul-e-fasurda-e-bagh hun mere lab hansi ko bhula chuke
tujhe ai saba jo na ho yaqin mujhe gudguda ke bhi dekh le

mere dil mein tu hi hai jalwa-gar tera aaina hun main sar-basar
yunhi dur hi se nazar na kar kabhi pas aa ke bhi dekh le

mere zarf-e-ishq pe shak na kar mere harf-e-shauq ko bhul ja
jo yahi hijab hai darmiyan ye hijab uTha ke bhi dekh le

ye jahan hai ise kya paDi hai jo ye sune teri dastan
tujhe phir bhi 'mulla' agar hai zid gham-e-dil suna ke bhi dekh le

(660) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Meri Baat Ka Jo Yaqin Nahin Mujhe Aazma Ke Bhi Dekh Le written by Anand Narayan Mulla at UrduPoint. Meri Baat Ka Jo Yaqin Nahin Mujhe Aazma Ke Bhi Dekh Le is one of the masterpieces written by Anand Narayan Mulla. You can also find the complete poetry collection of Anand Narayan Mulla by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anand Narayan Mulla' above.

Meri Baat Ka Jo Yaqin Nahin Mujhe Aazma Ke Bhi Dekh Le is a widely read Urdu Ghazal. If you like Meri Baat Ka Jo Yaqin Nahin Mujhe Aazma Ke Bhi Dekh Le, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.