BaDa Aazar-e-jaan Hai Wo Agarche Mehrban Hai Wo, Urdu Ghazal By Anees Ansari

BaDa Aazar-e-jaan Hai Wo Agarche Mehrban Hai Wo is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anees Ansari. BaDa Aazar-e-jaan Hai Wo Agarche Mehrban Hai Wo comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read BaDa Aazar-e-jaan Hai Wo Agarche Mehrban Hai Wo on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بڑا آزار جاں ہے وہ اگرچہ مہرباں ہے وہ

انیس انصاری

بڑا آزار جاں ہے وہ اگرچہ مہرباں ہے وہ

اگرچہ مہرباں ہے وہ بڑا آزار جاں ہے وہ

مثال آسماں ہے وہ مجھے زرخیز کرتا ہے

مجھے زرخیز کرتا ہے مثال آسماں ہے وہ

کریم و سائباں ہے وہ مجھے محفوظ رکھتا ہے

مجھے محفوظ رکھتا ہے کریم و سائباں ہے وہ

اگرچہ بے مکاں ہے وہ پناہیں مجھ کو دیتا ہے

پناہیں مجھ کو دیتا ہے اگرچہ بے مکاں ہے وہ

بڑا آرام جاں ہے وہ لئے پھرتا ہے سینے میں

لئے پھرتا ہے سینے میں بڑا آرام جاں ہے وہ

اگرچہ بے زباں ہے وہ نظر سے بات کرتا ہے

نظر سے بات کرتا ہے اگرچہ بے زباں ہے وہ

اک ایسا زہر جاں ہے وہ میں جس کو پی کے زندہ ہوں

میں جس کو پی کے زندہ ہوں اک ایسا زہر جاں ہے وہ

کہ بحر بیکراں ہے وہ تبھی ساحل نہیں ملتا

تبھی ساحل نہیں ملتا کہ بحر بیکراں ہے وہ

مزاج دشمناں ہے وہ پرایا بھی ہے اپنا بھی

پرایا بھی ہے اپنا بھی مزاج دشمناں ہے وہ

کمال دوستاں ہے وہ وہی اول وہی آخر

وہی اول وہی آخر کمال دوستاں ہے وہ

امیر کارواں ہے وہ میں اس کی راہ چلتا ہوں

میں اس کی راہ چلتا ہوں امیر کارواں ہے وہ

بڑا گوہر فشاں ہے وہ مجھے بھی کچھ گہر دے گا

مجھے بھی کچھ گہر دے گا بڑا گوہر فشاں ہے وہ

سنہری کہکشاں ہے وہ دہکتے ہیں کئی سورج

دہکتے ہیں کئی سورج سنہری کہکشاں ہے وہ

سنا ہے مہرباں ہے وہ انیسؔ اتراتے پھرتے ہیں

انیسؔ اتراتے پھرتے ہیں سنا ہے مہرباں ہے وہ

انیس انصاری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

BaDa Aazar-e-jaan Hai Wo Agarche Mehrban Hai Wo

Anees Ansari

baDa aazar-e-jaan hai wo agarche mehrban hai wo
agarche mehrban hai wo baDa aazar-e-jaan hai wo

misal-e-asman hai wo mujhe zarKHez karta hai
mujhe zarKHez karta hai misal-e-asman hai wo

karim-o-saeban hai wo mujhe mahfuz rakhta hai
mujhe mahfuz rakhta hai karim-o-saeban hai wo

agarche be-makan hai wo panahen mujh ko deta hai
panahen mujh ko deta hai agarche be-makan hai wo

baDa aaram-e-jaan hai wo liye phirta hai sine mein
liye phirta hai sine mein baDa aaram-e-jaan hai wo

agarche be-zaban hai wo nazar se baat karta hai
nazar se baat karta hai agarche be-zaban hai wo

ek aisa zahr-e-jaan hai wo main jis ko pi ke zinda hun
main jis ko pi ke zinda hun ek aisa zahr-e-jaan hai wo

ki bahr-e-be-karan hai wo tabhi sahil nahin milta
tabhi sahil nahin milta ki bahr-e-be-karan hai wo

mizaj-e-dushmanan hai wo paraya bhi hai apna bhi
paraya bhi hai apna bhi mizaj-e-dushmanan hai wo

kamal-e-dostan hai wo wahi awwal wahi aaKHir
wahi awwal wahi aaKHir kamal-e-dostan hai wo

amir-e-karwan hai wo main us ki rah chalta hun
main us ki rah chalta hun amir-e-karwan hai wo

baDa gauhar-fishan hai wo mujhe bhi kuchh guhar dega
mujhe bhi kuchh guhar dega baDa gauhar-fishan hai wo

sunahri kahkashan hai wo dahakte hain kai suraj
dahakte hain kai suraj sunahri kahkashan hai wo

suna hai mehrban hai wo 'anis' itraate phirte hain
'anis' itraate phirte hain suna hai mehrban hai wo

(1102) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read BaDa Aazar-e-jaan Hai Wo Agarche Mehrban Hai Wo written by Anees Ansari at UrduPoint. BaDa Aazar-e-jaan Hai Wo Agarche Mehrban Hai Wo is one of the masterpieces written by Anees Ansari. You can also find the complete poetry collection of Anees Ansari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anees Ansari' above.

BaDa Aazar-e-jaan Hai Wo Agarche Mehrban Hai Wo is a widely read Urdu Ghazal. If you like BaDa Aazar-e-jaan Hai Wo Agarche Mehrban Hai Wo, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.