Mausam-e-gul Hai Naqab-e-husn UTh Jaane Ka Nam, Urdu Ghazal By Anjum Abbasi

Mausam-e-gul Hai Naqab-e-husn UTh Jaane Ka Nam is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anjum Abbasi. Mausam-e-gul Hai Naqab-e-husn UTh Jaane Ka Nam comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mausam-e-gul Hai Naqab-e-husn UTh Jaane Ka Nam on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

موسم گل ہے نقاب حسن اٹھ جانے کا نام

انجم عباسی

موسم گل ہے نقاب حسن اٹھ جانے کا نام

ہے نشاط جان و دل اس دور کے آنے کا نام

تنگ ذہنوں میں ہے ماتم گردش ایام کا

محفل ہستی کو دے رکھا ہے غم خانے کا نام

جب کبھی چھڑتا ہے ذکر رسم و راہ عاشقی

لوگ لیتے ہیں ادب سے تیرے دیوانے کا نام

ان کی یاد ان کا تصور ان کا غم ان کی خوشی

زندگی ہے میری بس ان میں ہی کھو جانے کا نام

میں اگر ناکام ہوں ناکام رہنے دیجئے

کیا پڑی ہے آپ کو لیں رحم فرمانے کا نام

ہر برائی مصلحت کے نام سے ہے اب ردا

دے چکے ہیں لوگ مقتل کو صنم خانے کا نام

اس محبت میں ہیں انجمؔ سینکڑوں دشواریاں

سوچ کر لینے کسی ظالم کو اپنانے کا نام

انجم عباسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mausam-e-gul Hai Naqab-e-husn UTh Jaane Ka Nam

Anjum Abbasi

mausam-e-gul hai naqab-e-husn uTh jaane ka nam
hai nashat-e-jaan-o-dil us daur ke aane ka nam

tang zehnon mein hai matam gardish-e-ayyam ka
mahfil-e-hasti ko de rakkha hai gham-KHane ka nam

jab kabhi chhiDta hai zikr-e-rasm-o-rah-e-ashiqi
log lete hain adab se tere diwane ka nam

un ki yaad un ka tasawwur un ka gham un ki KHushi
zindagi hai meri bas un mein hi kho jaane ka nam

main agar nakaam hun nakaam rahne dijiye
kya paDi hai aap ko len rahm farmane ka nam

har burai maslahat ke nam se hai ab rida
de chuke hain log maqtal ko sanam-KHane ka nam

is mohabbat mein hain 'anjum' sainkaDon dushwariyan
soch kar lene kisi zalim ko apnane ka nam

(1027) ووٹ وصول ہوئے

You can read Mausam-e-gul Hai Naqab-e-husn UTh Jaane Ka Nam written by Anjum Abbasi at UrduPoint. Mausam-e-gul Hai Naqab-e-husn UTh Jaane Ka Nam is one of the masterpieces written by Anjum Abbasi. You can also find the complete poetry collection of Anjum Abbasi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anjum Abbasi' above.

Mausam-e-gul Hai Naqab-e-husn UTh Jaane Ka Nam is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mausam-e-gul Hai Naqab-e-husn UTh Jaane Ka Nam, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.