Zamin Ka Bojh, Urdu Nazam By Anjum Usman

Zamin Ka Bojh is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Anjum Usman. Zamin Ka Bojh comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Zamin Ka Bojh on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زمین کا بوجھ

انجم عثمان

ازل سے ارتقا کی رہ گزر میں

ہزاروں قافلے ہیں جادہ پیما

ابد کی منزلوں میں چلتے چلتے

بہت سے لوگ کھو کر رہ گئے ہیں

غبار راہ ہو کر رہ گئے ہیں

جنہیں سرمایۂ عرفاں ملا تھا

جنہیں عقل جنوں ساماں ملی تھی

وہ اپنی منزلوں کی سختیوں کو

سفر کی ناسزا بد بختیوں کو

ادائے تمکنت سے پی گئے ہیں

اور ان کے عزم مستحکم کے شعلے

فضاؤں میں اجالا کر گئے ہیں

مگر کچھ لوگ انجمؔ اس جہاں میں

جنہیں ذوق جہاں بینی ملی تھی

جنہیں ادراک ہستی بھی ملا تھا

وہ اپنی بزدلی سے

قدم آگے بڑھا کر ڈر گئے ہیں

زمیں کا بوجھ تھے جو ننگ انساں

وہ سب جینے سے پہلے مر گئے ہیں

انجم عثمان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zamin Ka Bojh

Anjum Usman

azal se irtiqa ki rahguzar mein
hazaron qafile hain jada-paima
abad ki manzilon mein chalte chalte
bahut se log kho kar rah gae hain
ghubar-e-rah ho kar rah gae hain
jinhen sarmaya-e-irfan mila tha
jinhen aql-e-junun-saman mili thi
wo apni manzilon ki saKHtiyon ko
safar ki na-saza bad-baKHtiyon ko
ada-e-tamkanat se pi gae hain
aur un ke azm-e-mustahkam ke shoale
fazaon mein ujala kar gae hain
magar kuchh log 'anjum' is jahan mein
jinhen zauq-e-jahan-bini mili thi
jinhen idrak-e-hasti bhi mila tha
wo apni buzdili se
qadam aage baDha kar Dar gae hain
zamin ka bojh the jo nang-e-insan
wo sab jine se pahle mar gae hain

(825) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zamin Ka Bojh written by Anjum Usman at UrduPoint. Zamin Ka Bojh is one of the masterpieces written by Anjum Usman. You can also find the complete poetry collection of Anjum Usman by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anjum Usman' above.

Zamin Ka Bojh is a widely read Urdu Nazam. If you like Zamin Ka Bojh, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.