Andhere Ke Aaghosh Mein Wo Chhupa Hai, Urdu Ghazal By Ankush Tiwari

Andhere Ke Aaghosh Mein Wo Chhupa Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ankush Tiwari. Andhere Ke Aaghosh Mein Wo Chhupa Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Andhere Ke Aaghosh Mein Wo Chhupa Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اندھیرے کے آغوش میں وہ چھپا ہے

انکش تیواری

اندھیرے کے آغوش میں وہ چھپا ہے

اجالا سمے کا مہک تو رہا ہے

جو تکیہ ہو بھیگی سمجھ لو اشارے

بلکتے بلکتے کوئی سو گیا ہے

تباہی کے عالم میں ہنستا ستارا

کئی مشکلوں سے چہک کر ملا ہے

مقدس ہو سیرت بھلے چاہے جتنی

فریبی سی صورت کو سب کچھ روا ہے

نہ دامن پسارا نہ سر تھا جھکایا

نہ شکوہ کسی سے نہ کوئی گلہ ہے

سہی بات کہتے ہمیشہ ہیں ڈرتے

یہ سچ کا سفینہ افق سے گرا ہے

نہیں چاہیئے روشنی اب فلک کی

چراغوں سا من سب طرف سے کھلا ہے

لگے ساتھ بھاری کھلے آسماں میں

قفس سے نکل بندشوں سے گھرا ہے

کیوں لپٹا وہ چادر میں بے فکر ہو کر

گناہوں کا کھاتا ادھورا پڑا ہے

شجر روٹھا رہتا ہے ہر وقت دیکھو

نہیں کوئی عرصے سے آ کر رکا ہے

سبھی سے ہے رشتہ کوئی بے زباں سا

خرابہ مکاں جیسا لگنے لگا ہے

مقدر کے چابک سے پوچھو ذرا اب

چمن سے ہوا کیا ابھی بھی جدا ہے

مسلسل ہے ہوتی یہاں پر جو بارش

تو پھر کیوں مرا کوچہ سوکھا پڑا ہے

یہ جھوٹوں کی ہستی گھلی ہے فضا میں

حقیقت پہ دیکھو کیوں پردا پڑا ہے

انکش تیواری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Andhere Ke Aaghosh Mein Wo Chhupa Hai

Ankush Tiwari

andhere ke aaghosh mein wo chhupa hai
ujala samay ka mahak to raha hai

jo takiya ho bhigi samajh lo ishaare
bilakte bilakte koi so gaya hai

tabahi ke aalam mein hansta sitara
kai mushkilon se chahak kar mila hai

muqaddas ho sirat bhale chahe jitni
farebi si surat ko sab kuchh rawa hai

na daman pasara na sar tha jhukaya
na shikwa kisi se na koi gila hai

sahi baat kahte hamesha hain Darte
ye sach ka safina ufuq se gira hai

nahin chahiye raushni ab falak ki
charaghon sa man sab taraf se khula hai

lage sath bhaari khule aasman mein
qafas se nikal bandishon se ghira hai

kyon lipTa wo chadar mein be-fikr ho kar
gunahon ka khata adhura paDa hai

shajar ruTha rahta hai har-waqt dekho
nahin koi arse se aa kar ruka hai

sabhi se hai rishta koi be-zaban sa
KHaraba makan jaisa lagne laga hai

muqaddar ke chabuk se puchho zara ab
chaman se hawa kya abhi bhi juda hai

musalsal hai hoti yahan par jo barish
to phir kyon mera kucha sukha paDa hai

ye jhuTon ki hasti ghuli hai faza mein
haqiqat pe dekho kyon parda paDa hai

(682) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Andhere Ke Aaghosh Mein Wo Chhupa Hai written by Ankush Tiwari at UrduPoint. Andhere Ke Aaghosh Mein Wo Chhupa Hai is one of the masterpieces written by Ankush Tiwari. You can also find the complete poetry collection of Ankush Tiwari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ankush Tiwari' above.

Andhere Ke Aaghosh Mein Wo Chhupa Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Andhere Ke Aaghosh Mein Wo Chhupa Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.