Mohabbat Ho To Barq-e-jism-o-jaan Ho, Urdu Ghazal By Anwar Dehlvi

Mohabbat Ho To Barq-e-jism-o-jaan Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anwar Dehlvi. Mohabbat Ho To Barq-e-jism-o-jaan Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mohabbat Ho To Barq-e-jism-o-jaan Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محبت ہو تو برق جسم و جاں ہو

انور دہلوی

محبت ہو تو برق جسم و جاں ہو

وہ آتش کیا کہ سینے میں نہاں ہو

نہیں ہوا اور پھر کہنے کو یہاں ہو

حریف بد گماں کے ہم گماں ہو

تحیر فرط شوق دید سے ہوں

وہیں مجھ کو بھی دیکھو تم جہاں ہو

سنی جاتی ہو جب محشر میں روداد

تو اپنی ختم کیوں کر داستاں ہو

وہ مستغنی سہی پر دل گیا ہے

جو پھر ہو تو انہیں پر کچھ گماں ہو

جو سچ ہو وعدۂ دیدار ان کا

تو باتوں میں قیامت کیوں عیاں ہو

مجھے سر پھوڑنے میں عذر کیا ہے

مگر ان کا ہی ہی سنگ آستاں ہو

تمہیں وہ پردہ یہاں ہے پردہ داری

میرے دل میں نہیں تو پھر کہاں ہو

رکا جاتا ہے دم سینہ میں کیا کیا

گلے پر کاش خنجر سا رواں ہو

چھپائے ہم سے کیا کیا راز اپنے

اگر کوئی ہمارا رازداں ہو

رہے کیوں تلخیٔ فرہاد کا ذکر

اگر شیریں کی شیریں داستاں ہو

زلیخا پر نہ ہو کیوں نازش عشق

کہ جب یوسف متاع کارواں ہو

عدو خوش خوش ہے کچھ کہہ کر سنا ہے

نہ مانوں گا کبھی تم بے دہاں ہو

ملا ہے بیٹھے رہنے کا سہارا

جہاں ہو اور تمہارا آستاں ہو

اسی میں فیصلہ سمجھا ہوں دل کا

کہاں تک دیکھیے ضبط فغاں ہو

یہاں بیٹھے ہو پر کچھ اکھڑے اکھڑے

نظر ملتی نہیں دل سے کہاں ہوں

سراپا سوز ہے الفت میں انورؔ

عجب کیا ہے اگر آتش‌ زباں ہو

انور دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mohabbat Ho To Barq-e-jism-o-jaan Ho

Anwar Dehlvi

mohabbat ho to barq-e-jism-o-jaan ho
wo aatish kya ki sine mein nihan ho

nahin hua aur phir kahne ko yahan ho
harif-e-bad-guman ke hum guman ho

tahayyur-e-fart shauq-e-did se hun
wahin mujh ko bhi dekho tum jahan ho

suni jati ho jab mahshar mein rudad
to apni KHatm kyunkar dastan ho

wo mustaghni sahi par dil gaya hai
jo phir ho to unhin par kuchh guman ho

jo sach ho wada-e-didar un ka
to baaton mein qayamat kyun ayan ho

mujhe sar phoDne mein uzr kya hai
magar un ka hi hi sang-e-astan ho

tumhein wo parda yahan hai parda-dari
mere dil mein nahin to phir kahan ho

ruka jata hai dam-e-sina mein kya kya
gale par kash KHanjar sa rawan ho

chhupae hum se kya kya raaz apne
agar koi hamara raaz-dan ho

rahe kyun talKHi-e-farhad ka zikr
agar shirin ki shirin dastan ho

zuleKHa par na ho kyun nazish-e-ishq
ki jab yusuf mata-e-karwan ho

adu KHush KHush hai kuchh kah kar suna hai
na manunga kabhi tum be-dahan ho

mila hai baiThe rahne ka sahaara
jahan ho aur tumhaara aastan ho

usi mein faisla samjha hun dil ka
kahan tak dekhiye zabt-e-fughan ho

yahan baiThe ho par kuchh ukhDe ukhDe
nazar milti nahin dil se kahan hun

sarapa soz hai ulfat mein 'anwar'
ajab kya hai agar aatish-zaban ho

(552) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mohabbat Ho To Barq-e-jism-o-jaan Ho written by Anwar Dehlvi at UrduPoint. Mohabbat Ho To Barq-e-jism-o-jaan Ho is one of the masterpieces written by Anwar Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Anwar Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwar Dehlvi' above.

Mohabbat Ho To Barq-e-jism-o-jaan Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mohabbat Ho To Barq-e-jism-o-jaan Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.