Aansuon Se Likhi Tahrir Bhi Ho Sakti Hai, Urdu Ghazal By Anwar Husain Anwar

Aansuon Se Likhi Tahrir Bhi Ho Sakti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anwar Husain Anwar. Aansuon Se Likhi Tahrir Bhi Ho Sakti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aansuon Se Likhi Tahrir Bhi Ho Sakti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آنسوؤں سے لکھی تحریر بھی ہو سکتی ہے

انور حسین انور

آنسوؤں سے لکھی تحریر بھی ہو سکتی ہے

غم کی رخسار پہ تفسیر بھی ہو سکتی ہے

تیری دنیا میں مرا کام ابھی باقی ہے

لوٹنے میں ذرا تاخیر بھی ہو سکتی ہے

دم رخصت ترے ہونٹوں کی یہ پھیکی مسکان

میرے ان پاؤں کی زنجیر بھی ہو سکتی ہے

دل سے کھیلو نہ مرے اس کے کسی گوشے میں

آپ کی ہی کوئی تصویر بھی ہو سکتی ہے

شک نہیں اس میں کوئی وقت اگر ساتھ رہا

پھر وہیں اک نئی تعمیر بھی ہو سکتی ہے

خواب ہی خواب کی دنیا ہے مری آنکھوں میں

ان کی کوئی حسیں تعبیر بھی ہو سکتی ہے

زندگی دشت کی صورت ہی سہی صبر تو کر

ایک دن وادئ کشمیر بھی ہو سکتی ہے

وقت آنے تو دو ظلمت کو مٹانے کے لئے

صندلی ہاتھوں میں شمشیر بھی ہو سکتی ہے

عاجزی پر کسی ظالم کی کبھی رحم نہ کر

مکر ہو سکتا ہے تدبیر بھی ہو سکتی ہے

آرزو میری دعا آپ کی رنگ لائے گی

ورنہ یہ آخری تحریر بھی ہو سکتی ہے

کچھ رہے یا نہ رہے پاس انا ہے انورؔ

بس انا ہی مری جاگیر بھی ہو سکتی ہے

انور حسین انور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aansuon Se Likhi Tahrir Bhi Ho Sakti Hai

Anwar Husain Anwar

aansuon se likhi tahrir bhi ho sakti hai
gham ki ruKHsar pe tafsir bhi ho sakti hai

teri duniya mein mera kaam abhi baqi hai
lauTne mein zara taKHir bhi ho sakti hai

dam-e-ruKHsat tere honTon ki ye phiki muskan
mere in panw ki zanjir bhi ho sakti hai

dil se khelo na mere is ke kisi goshe mein
aap ki hi koi taswir bhi ho sakti hai

shak nahin is mein koi waqt agar sath raha
phir wahin ek nai tamir bhi ho sakti hai

KHwab hi KHwab ki duniya hai meri aankhon mein
in ki koi hasin tabir bhi ho sakti hai

zindagi dasht ki surat hi sahi sabr to kar
ek din wadi-e-kashmir bhi ho sakti hai

waqt aane to do zulmat ko miTane ke liye
sandali hathon mein shamshir bhi ho sakti hai

aajizi par kisi zalim ki kabhi rahm na kar
makr ho sakta hai tadbir bhi ho sakti hai

aarzu meri dua aap ki rang laegi
warna ye aaKHiri tahrir bhi ho sakti hai

kuchh rahe ya na rahe pas-e-ana hai 'anwar'
bas ana hi meri jagir bhi ho sakti hai

(650) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aansuon Se Likhi Tahrir Bhi Ho Sakti Hai written by Anwar Husain Anwar at UrduPoint. Aansuon Se Likhi Tahrir Bhi Ho Sakti Hai is one of the masterpieces written by Anwar Husain Anwar. You can also find the complete poetry collection of Anwar Husain Anwar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwar Husain Anwar' above.

Aansuon Se Likhi Tahrir Bhi Ho Sakti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aansuon Se Likhi Tahrir Bhi Ho Sakti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.