Zindagi Apni KHwab Jaisi Hai, Urdu Ghazal By Anwar Jamal Anwar

Zindagi Apni KHwab Jaisi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anwar Jamal Anwar. Zindagi Apni KHwab Jaisi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zindagi Apni KHwab Jaisi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زندگی اپنی خواب جیسی ہے

انور جمال انور

زندگی اپنی خواب جیسی ہے

خوب رو بے نقاب جیسی ہے

صحن گلشن میں آپ کی ہستی

شاخ پر ایک گلاب جیسی ہے

کبھی ڈوبی ہے اور کبھی ابھری

عاشقی بھی حباب جیسی ہے

ہوش میں رہ کے بھی ہے بے ہوشی

زیست اپنی شراب جیسی ہے

ان کی شوخی تو ہے بہار چمن

سادگی محو خواب جیسی ہے

ہے کرشمہ یہ ان کی آنکھوں کا

خامشی بھی خطاب جیسی ہے

گزرے لمحوں کے ساتھ ساتھ انورؔ

زندگی انقلاب جیسی ہے

انور جمال انور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zindagi Apni KHwab Jaisi Hai

Anwar Jamal Anwar

zindagi apni KHwab jaisi hai
KHub-ru be-naqab jaisi hai

sehn-e-gulshan mein aap ki hasti
shaKH par ek gulab jaisi hai

kabhi Dubi hai aur kabhi ubhri
aashiqi bhi hubab jaisi hai

hosh mein rah ke bhi hai be-hoshi
zist apni sharab jaisi hai

un ki shoKHi to hai bahaar-e-chaman
sadgi mahw-e-KHwab jaisi hai

hai karishma ye un ki aankhon ka
KHamushi bhi KHitab jaisi hai

guzre lamhon ke sath sath 'anwar'
zindagi inqalab jaisi hai

(685) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zindagi Apni KHwab Jaisi Hai written by Anwar Jamal Anwar at UrduPoint. Zindagi Apni KHwab Jaisi Hai is one of the masterpieces written by Anwar Jamal Anwar. You can also find the complete poetry collection of Anwar Jamal Anwar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwar Jamal Anwar' above.

Zindagi Apni KHwab Jaisi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zindagi Apni KHwab Jaisi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.