Kal Walon Ke Liye, Urdu Nazam By Anwar Sen Roy

Kal Walon Ke Liye is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Anwar Sen Roy. Kal Walon Ke Liye comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Kal Walon Ke Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کل والوں کے لیے

انور سین رائے

ہمیں ان سے ملنا ہے

جو کل کے ہیں

ہمارے پاس وہ کل ہیں

اور ان کے درمیان ہے

معدوم ایک آج

جس کا رقبہ ایک صفر پر محیط ہے

اس صفر میں ہے ایک دنیا

جو کل سے آئی ہے

اور کل کی طرف جا رہی ہے

ہم اس کل پر ایک قالین بچھاتے

جو جہنم میں چلنے کا مشورہ دیتی ہے

میں اس سے پوچھتا ہوں

کیا اس نے ویزا لگوا لیا ہے

میرا پاسپورٹ ری نیو ہونے گیا ہے

اگر میرے پاس

حکام کی جدید کنیزوں کے لیے

نا مناسب نہ سمجھے جانے والے تحفے ہوئے

تو میں پاسپورٹ کے بغیر بھی

اس کے ساتھ جانے کے لیے

کشتی میں سوار کر دیا گیا

اور کشتی پر پانی کا کیا ادھار ہے

یہ تو میں بھی نہیں جانتا

انور سین رائے

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kal Walon Ke Liye

Anwar Sen Roy

hamein un se milna hai
jo kal ke hain
hamare pas wo kal hain
aur un ke darmiyan hai
madum ek aaj
jis ka raqba ek sifr par muhit hai
is sifr mein hai ek duniya
jo kal se aai hai
aur kal ki taraf ja rahi hai
hum is kal par ek qalin bichhate
jo jahannam mein chalne ka mashwara deti hai
main us se puchhta hun
kya us ne wisa lagwa liya hai
mera passport re-new hone gaya hai
agar mere pas
hukkaam ki jadid kanizon ke liye
na-munasib na samjhe jaane wale tohfe hue
to main passport ke baghair bhi
is ke sath jaane ke liye
kashti mein sawar kar diya gaya
aur kashti par pani ka kya udhaar hai
ye to main bhi nahin jaanta

(647) ووٹ وصول ہوئے

You can read Kal Walon Ke Liye written by Anwar Sen Roy at UrduPoint. Kal Walon Ke Liye is one of the masterpieces written by Anwar Sen Roy. You can also find the complete poetry collection of Anwar Sen Roy by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwar Sen Roy' above.

Kal Walon Ke Liye is a widely read Urdu Nazam. If you like Kal Walon Ke Liye, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.