Darun Kyunkar BaDa Hai Lutf Dariya Ki Rawani Mein, Urdu Ghazal By Anwar Sheikh

Darun Kyunkar BaDa Hai Lutf Dariya Ki Rawani Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anwar Sheikh. Darun Kyunkar BaDa Hai Lutf Dariya Ki Rawani Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Darun Kyunkar BaDa Hai Lutf Dariya Ki Rawani Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ڈروں کیونکر بڑا ہے لطف دریا کی روانی میں

انور شیخ

ڈروں کیونکر بڑا ہے لطف دریا کی روانی میں

جنہیں طوفاں سے لڑنا ہو وہی رہتے ہیں پانی میں

نہ حوروں میں نہ غلماں میں نہ ہے بادہ ساغر میں

حقیقی لطف تو زاہد ہے لمحات جوانی میں

بڑی ہی دل کشی ہے مال و زر جنت کی باتوں میں

تڑپ لیکن کہاں ہے جو محبت کی کہانی میں

کہاں فطرت کے نظاروں بہاروں میں ستاروں میں

کہ جو تسکین ملتی ہے مجھے تیری نشانی میں

صداقت سے کہیں بڑھ کر لگے ہے جھوٹ کا رتبہ

بڑی تاثیر ہے واعظ تری جادو بیانی میں

تمہارے بادۂ جنت کی باتیں صرف باتیں ہیں

نرالا ہے مزا ناصح شراب ارغوانی میں

سکوں ہے موت کا قاصد نہ کرنا آرزو اس کی

تغیر ہے اساس زندگی دنیائے فانی میں

کبھی سوچا ہے ناداں تم تو خود ہی اپنی دنیا ہو

ضروری کیا کہ کھو جاؤ جہاں کی بیکرانی میں

شہیدوں کے ارادوں سے ہوا مجھ پر عیاں آخر

حیات جاوداں کا راز موت ناگہانی میں

جنوں ہے وصل کا تم کو نہ سمجھو پیار کی باتیں

مزا کچھ اور انورؔ گل رخوں سے کھینچا تانی میں

انور شیخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Darun Kyunkar BaDa Hai Lutf Dariya Ki Rawani Mein

Anwar Sheikh

Darun kyunkar baDa hai lutf dariya ki rawani mein
jinhen tufan se laDna ho wahi rahte hain pani mein

na huron mein na ghilman mein na hai baada-e-saghar mein
haqiqi lutf to zahid hai lamhat-e-jawani mein

baDi hi dilkashi hai mal-o-zar jannat ki baaton mein
taDap lekin kahan hai jo mohabbat ki kahani mein

kahan fitrat ke nazzaron bahaaron mein sitaron mein
ki jo taskin milti hai mujhe teri nishani mein

sadaqat se kahin baDh kar lage hai jhuT ka rutba
baDi tasir hai waiz teri jadu-bayani mein

tumhaare baada-e-jannat ki baaten sirf baaten hain
nirala hai maza naseh sharab-e-arghawani mein

sukun hai maut ka qasid na karna aarzu us ki
taghayyur hai asas-e-zindagi duniya-e-fani mein

kabhi socha hai nadan tum to KHud hi apni duniya ho
zaruri kya ki kho jao jahan ki be-karani mein

shahidon ke iradon se hua mujh par ayan aaKHir
hayat-e-jawidan ka raaz maut-e-na-gahani mein

junun hai wasl ka tum ko na samjho pyar ki baaten
maza kuchh aur 'anwar' gul-ruKHon se khincha-tani mein

(686) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Darun Kyunkar BaDa Hai Lutf Dariya Ki Rawani Mein written by Anwar Sheikh at UrduPoint. Darun Kyunkar BaDa Hai Lutf Dariya Ki Rawani Mein is one of the masterpieces written by Anwar Sheikh. You can also find the complete poetry collection of Anwar Sheikh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwar Sheikh' above.

Darun Kyunkar BaDa Hai Lutf Dariya Ki Rawani Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Darun Kyunkar BaDa Hai Lutf Dariya Ki Rawani Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.