Azab-e-ham-safari Se Gurez Tha Mujhko, Urdu Ghazal By Anwar Siddiqui

Azab-e-ham-safari Se Gurez Tha Mujhko is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anwar Siddiqui. Azab-e-ham-safari Se Gurez Tha Mujhko comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Azab-e-ham-safari Se Gurez Tha Mujhko on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عذاب ہم سفری سے گریز تھا مجھ کو

انور صدیقی

عذاب ہم سفری سے گریز تھا مجھ کو

پکارتا رہا اک ایک قافلا مجھ کو

میں اپنی لوٹتی آواز کے حصار میں تھا

وہ لمحہ جب تری آواز نے چھوا مجھ کو

یہ کس نے چھین لیے مجھ سے خوشبوؤں کے مکاں

یہ کون دشت کی دیوار کر گیا مجھ کو

اجالتی نہیں اب مجھ کو کوئی تاریکی

سنوارتا نہیں اب کوئی حادثہ مجھ کو

بجھا بجھا سر محراب دور بیٹھا تھا

کوئی چراغ سمجھ کر جلا گیا مجھ کو

میں کیسے اپنے بکھرنے کا تجھ کو دوں الزام

زمانا خود ہی بکھرتا ہوا ملا مجھ کو

انور صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Azab-e-ham-safari Se Gurez Tha Mujhko

Anwar Siddiqui

azab-e-ham-safari se gurez tha mujh ko
pukarta raha ek ek qafila mujh ko

main apni lauTti aawaz ke hisar mein tha
wo lamha jab teri aawaz ne chhua mujh ko

ye kis ne chhin liye mujh se KHushbuon ke makan
ye kaun dasht ki diwar kar gaya mujh ko

ujalti nahin ab mujh ko koi tariki
sanwarta nahin ab koi hadsa mujh ko

bujha bujha sar-e-mehrab dur baiTha tha
koi charag samajh kar jala gaya mujh ko

main kaise apne bikharne ka tujh ko dun ilzam
zamana KHud hi bikharta hua mila mujh ko

(1078) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Azab-e-ham-safari Se Gurez Tha Mujhko written by Anwar Siddiqui at UrduPoint. Azab-e-ham-safari Se Gurez Tha Mujhko is one of the masterpieces written by Anwar Siddiqui. You can also find the complete poetry collection of Anwar Siddiqui by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwar Siddiqui' above.

Azab-e-ham-safari Se Gurez Tha Mujhko is a widely read Urdu Ghazal. If you like Azab-e-ham-safari Se Gurez Tha Mujhko, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.