Kya Shahr Mein Hai Garmi-e-bazar Ke Siwa, Urdu Ghazal By Anwar Siddiqui

Kya Shahr Mein Hai Garmi-e-bazar Ke Siwa is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anwar Siddiqui. Kya Shahr Mein Hai Garmi-e-bazar Ke Siwa comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kya Shahr Mein Hai Garmi-e-bazar Ke Siwa on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیا شہر میں ہے گرمئ بازار کے سوا

انور صدیقی

کیا شہر میں ہے گرمئ بازار کے سوا

سب اجنبی ہیں ایک دل زار کے سوا

اس دشت بے خودی میں کہ دنیا کہیں جسے

غافل سبھی ہیں اک نگۂ یار کے سوا

چہروں کے چاند راکھ ہوئے بام بجھ گئے

کچھ بھی بچا نہ حسرت دیدار کے سوا

عالم تمام تیرگئ درد مضمحل

ہاں اک فروغ شعلۂ رخسار کے سوا

ساری شفق سمیٹ کے سورج چلا گیا

اب کیا رہا ہے موج شب تار کے سوا

جس سمت دیکھیے ہے صلیبوں کی اک قطار

کوئی افق نہیں افق دار کے سوا

انور صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kya Shahr Mein Hai Garmi-e-bazar Ke Siwa

Anwar Siddiqui

kya shahr mein hai garmi-e-bazar ke siwa
sab ajnabi hain ek dil-e-zar ke siwa

is dasht-e-be-KHudi mein ki duniya kahen jise
ghafil sabhi hain ek nigah-e-yar ke siwa

chehron ke chand rakh hue baam bujh gae
kuchh bhi bacha na hasrat-e-didar ke siwa

aalam tamam tirgi-e-dard-e-muzmahil
han ek farogh-e-shola-e-ruKHsar ke siwa

sari shafaq sameT ke suraj chala gaya
ab kya raha hai mauj-e-shab-e-tar ke siwa

jis samt dekhiye hai salibon ki ek qatar
koi ufuq nahin ufuq-e-dar ke siwa

(729) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kya Shahr Mein Hai Garmi-e-bazar Ke Siwa written by Anwar Siddiqui at UrduPoint. Kya Shahr Mein Hai Garmi-e-bazar Ke Siwa is one of the masterpieces written by Anwar Siddiqui. You can also find the complete poetry collection of Anwar Siddiqui by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwar Siddiqui' above.

Kya Shahr Mein Hai Garmi-e-bazar Ke Siwa is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kya Shahr Mein Hai Garmi-e-bazar Ke Siwa, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.