Sare Kushton Se Juda Dhang Iztirab-e-dil Ka Hai, Urdu Ghazal By Anwari Jahan Begum Hijab

Sare Kushton Se Juda Dhang Iztirab-e-dil Ka Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anwari Jahan Begum Hijab. Sare Kushton Se Juda Dhang Iztirab-e-dil Ka Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sare Kushton Se Juda Dhang Iztirab-e-dil Ka Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سارے کشتوں سے جدا ڈھنگ اضطراب دل کا ہے

انوری جہاں بیگم حجاب

سارے کشتوں سے جدا ڈھنگ اضطراب دل کا ہے

کیوں نہ ہو بسمل بھی تو کس چلبلے قاتل کا ہے

چھپ نہیں سکتا وہ خون اپنے دل بسمل کا ہے

مٹ نہیں سکتا جو دھبہ دامن قاتل کا ہے

امتحاں مد نظر کس منچلے بسمل کا ہے

معرکہ آرا جو یوں ہر ناز اس قاتل کا ہے

بے اجازت اٹھ کے سینہ سے لگائے آپ کو

حوصلہ اتنا بھی اک ارمان والے دل کا ہے

آپ کو یاد آ گئیں ہیں کس کی بزم آرائیاں

حضرت دل کہیے تو قصد آج کس محفل کا ہے

اس طرف مچلا ہوا ہے وصل میں وہ چلبلا

اس طرف جوش اضطراب آرزوئے دل کا ہے

وصل کی شب خون کرنا آرزوئے وصل کا

او تمناؤں کے دشمن کام یہ قاتل کا ہے

معرکہ آرائیاں ہیں آج حسن و عشق کی

سامنا اس جلوہ گہ میں دل ربا سے دل کا ہے

اپنے آدھی رات کو آنے کا باعث کیوں بنے

وہ کہیں قائل بھی جذب الفت کامل کا ہے

موت آئی ہے مجھے او بحر خوبی وصل میں

میرا بیڑا ڈوبنے والا لب ساحل کا ہے

سینہ سے سینہ ملا دینا تو کچھ مشکل نہیں

یار مشکل تو ترے دل سے ملانا دل کا ہے

شوخیٔ قاتل میں ہے بسمل کا رنگ اضطراب

رنگ بسمل کی تڑپ میں شوخئ قاتل کا ہے

انوری جہاں بیگم حجاب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sare Kushton Se Juda Dhang Iztirab-e-dil Ka Hai

Anwari Jahan Begum Hijab

sare kushton se juda Dhang iztirab-e-dil ka hai
kyun na ho bismil bhi to kis chulbule qatil ka hai

chhup nahin sakta wo KHun apne dil-e-bismil ka hai
miT nahin sakta jo dhabba daman-e-qatil ka hai

imtihan madd-e-nazar kis manchale bismil ka hai
marka aara jo yun har naz us qatil ka hai

be-ijazat uTh ke sina se lagae aap ko
hausla itna bhi ek arman wale dil ka hai

aap ko yaad aa gain hain kis ki bazm-araiyan
hazrat-e-dil kahiye to qasd aaj kis mahfil ka hai

us taraf machla hua hai wasl mein wo chulbula
is taraf josh-e-iztirab aarzu-e-dil ka hai

wasl ki shab KHun karna aarzu-e-wasl ka
o tamannaon ke dushman kaam ye qatil ka hai

marka-araiyan hain aaj husn-o-ishq ki
samna is jalwa-gah mein dilruba se dil ka hai

apne aadhi raat ko aane ka bais kyun bane
wo kahin qail bhi jazb-e-ulfat-e-kaamil ka hai

maut aai hai mujhe o bahr-e-KHubi wasl mein
mera beDa Dubne wala lab-e-sahil ka hai

sina se sina mila dena to kuchh mushkil nahin
yar mushkil to tere dil se milana dil ka hai

shoKHi-e-qatil mein hai bismil ka rang-e-iztirab
rang bismil ki taDap mein shoKHi-e-qatil ka hai

(561) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Anwari Jahan Begum Hijab Poetry

You can read Sare Kushton Se Juda Dhang Iztirab-e-dil Ka Hai written by Anwari Jahan Begum Hijab at UrduPoint. Sare Kushton Se Juda Dhang Iztirab-e-dil Ka Hai is one of the masterpieces written by Anwari Jahan Begum Hijab. You can also find the complete poetry collection of Anwari Jahan Begum Hijab by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwari Jahan Begum Hijab' above.

Sare Kushton Se Juda Dhang Iztirab-e-dil Ka Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sare Kushton Se Juda Dhang Iztirab-e-dil Ka Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.