Sukun-e-dil Na Mayassar Hua Zamane Mein, Urdu Ghazal By Anwarul Hasan Anwar

Sukun-e-dil Na Mayassar Hua Zamane Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anwarul Hasan Anwar. Sukun-e-dil Na Mayassar Hua Zamane Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sukun-e-dil Na Mayassar Hua Zamane Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سکون دل نہ میسر ہوا زمانے میں

انوار الحسن انوار

سکون دل نہ میسر ہوا زمانے میں

نہ یاد رکھنے میں تم کو نہ بھول جانے میں

ہمیشہ وسعت افلاک میں رہا ہے غم

کہاں قیام ہے شاہیں کا آشیانے میں

عروج تیرگیٔ شب سے ہو سحر پیدا

یہی نظام ہے دنیا کے کارخانے میں

شفق کے خون کی سرخی بھی ہو گئی شامل

سحر بہ دوش ستاروں کے جھلملانے میں

ابھی بہار کا کچھ اور انتظار کرو

کہ تھوڑی دیر ہے کلیوں کے مسکرانے میں

یہ وہ متاع گراں ہے جو مل نہیں سکتی

سکون دل کی تمنا نہ کر زمانے میں

کبھی قرار دل بے قرار کو بھی ملے

الٰہی کون کمی ہے ترے خزانے میں

کسی سے کچھ بھی شکایت کروں تو کیا حاصل

ملا نہ کوئی وفا آشنا زمانے میں

گلوں کی بزم ہی رنگینیاں بہ دوش نہیں

ہر ایک نقش حسیں ہے نگار خانے میں

میں روندتا ہوا کانٹوں کو یوں گزرتا ہوں

کہ رہ رووں کو سہولت ہو آنے جانے میں

وہ ایک تم ہو کہ تم کو کسی نے کچھ نہ کہا

وہ ایک ہم ہیں کہ رسوا ہوئے زمانے میں

ترے خیال سے آتی نہیں جو لب پہ مرے

وہی تو کام کی اک بات تھی فسانے میں

وہ اضطراب مسلسل کا لطف کیا جانے

مصیبتوں سے جو گھبرا گیا زمانے میں

کچھ عندلیب کا خون جگر بھی ہے شامل

گلوں کی بزم کی رنگینیاں بڑھانے میں

ہمیں تو لذت آزار کے نہیں خوگر

انہیں بھی لطف سا آتا ہے کچھ ستانے میں

قصور ان کی نگاہوں کی شوخیوں کا بھی ہے

ہماری جرأت شوق و طلب بڑھانے میں

رہے گا مدتوں چرچا مرا زبانوں پر

کسی کی بزم سے انوارؔ اٹھ کے جانے میں

انوار الحسن انوار

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sukun-e-dil Na Mayassar Hua Zamane Mein

Anwarul Hasan Anwar

sukun-e-dil na mayassar hua zamane mein
na yaad rakhne mein tum ko na bhul jaane mein

hamesha wusat-e-aflak mein raha hai gham
kahan qayam hai shahin ka aashiyane mein

uruj-e-tirgi-e-shab se ho sahar paida
yahi nizam hai duniya ke kar-KHane mein

shafaq ke KHun ki surKHi bhi ho gai shamil
sahar-ba-dosh sitaron ke jhilmilane mein

abhi bahaar ka kuchh aur intizar karo
ki thoDi der hai kaliyon ke muskurane mein

ye wo mata-e-giran hai jo mil nahin sakti
sukun-e-dil ki tamanna na kar zamane mein

kabhi qarar dil-e-be-qarar ko bhi mile
ilahi kaun kami hai tere KHazane mein

kisi se kuchh bhi shikayat karun to kya hasil
mila na koi wafa-ashna zamane mein

gulon ki bazm hi ranginiyan ba-dosh nahin
har ek naqsh hasin hai nigar-KHane mein

mein raundta hua kanTon ko yun guzarta hun
ki rah-rawon ko suhulat ho aane jaane mein

wo ek tum ho ki tum ko kisi ne kuchh na kaha
wo ek hum hain ki ruswa hue zamane mein

tere KHayal se aati nahin jo lab pe mere
wahi to kaam ki ek baat thi fasane mein

wo iztirab-e-musalsal ka lutf kya jaane
musibaton se jo ghabra gaya zamane mein

kuchh andalib ka KHun jigar bhi hai shamil
gulon ki bazm ki ranginiyan baDhane mein

hamin to lazzat-e-azar ke nahin KHugar
unhen bhi lutf sa aata hai kuchh satane mein

qusur un ki nigahon ki shoKHiyon ka bhi hai
hamari jurat-e-shauq-o-talab baDhane mein

rahega muddaton charcha mera zabanon par
kisi ki bazm se 'anwar' uTh ke jaane mein

(577) ووٹ وصول ہوئے

You can read Sukun-e-dil Na Mayassar Hua Zamane Mein written by Anwarul Hasan Anwar at UrduPoint. Sukun-e-dil Na Mayassar Hua Zamane Mein is one of the masterpieces written by Anwarul Hasan Anwar. You can also find the complete poetry collection of Anwarul Hasan Anwar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwarul Hasan Anwar' above.

Sukun-e-dil Na Mayassar Hua Zamane Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sukun-e-dil Na Mayassar Hua Zamane Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.