Dariya Sahil Tufan Dekhe Waqt Ke Aane Jaane Mein, Urdu Ghazal By Arman Akbarabadi

Dariya Sahil Tufan Dekhe Waqt Ke Aane Jaane Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arman Akbarabadi. Dariya Sahil Tufan Dekhe Waqt Ke Aane Jaane Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dariya Sahil Tufan Dekhe Waqt Ke Aane Jaane Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دریا ساحل طوفاں دیکھے وقت کے آنے جانے میں

ارمان اکبرآبادی

دریا ساحل طوفاں دیکھے وقت کے آنے جانے میں

ہم نے ساری عمر گنوا دی کشتی پار لگانے میں

بیگانے تو بیگانے تھے بیگانوں کا شکوہ کیا

اپنوں کا بھی ہاتھ رہا ہے گھر کو آگ لگانے میں

پل دو پل میں ڈھ جاتے ہیں تاج محل ارمانوں کے

لیکن برسوں لگ جاتے ہیں بگڑی بات بنانے میں

ہوش و خرد کا دامن تھامو جوش و جنوں سے کام نہ لو

شیشے پر ہی بن آتی ہے پتھر سے ٹکرانے میں

کیسی منزل کیسی راہیں خود کو اپنا ہوش نہیں

وقت نے ایسا الجھایا ہے اپنے تانے بانے میں

گلشن گلشن صحرا صحرا شبنم پاشی کی ہم نے

پھر بھی نام ہمارا آیا شعلوں کو بھڑکانے میں

رنگ بہاراں بوئے گلستاں ان کی کہانی کے عنواں

ذکر خزاؤں کا ملتا ہے میرے ہی افسانے میں

اپنے ہی سر تہمت لے لی دیوانے نے دانستہ

جانے کیا مجبوری ہوگی سچی بات بتانے میں

نفرت کی دیواریں ڈھا دیں پیار کے آنگن میں بیٹھیں

بربادی ہی بربادی ہے ناحق خون بہانے میں

ارمان اکبرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dariya Sahil Tufan Dekhe Waqt Ke Aane Jaane Mein

Arman Akbarabadi

dariya sahil tufan dekhe waqt ke aane jaane mein
hum ne sari umr ganwa di kashti par lagane mein

begane to begane the beganon ka shikwa kya
apnon ka bhi hath raha hai ghar ko aag lagane mein

pal do pal mein Dheh jate hain taj-mahal armanon ke
lekin barson lag jate hain bigDi baat banane mein

hosh-o-KHirad ka daman thamo josh-o-junun se kaam na lo
shishe par hi ban aati hai patthar se Takrane mein

kaisi manzil kaisi rahen KHud ko apna hosh nahin
waqt ne aisa uljhaya hai apne tane-bane mein

gulshan gulshan sahra sahra shabnam-pashi ki hum ne
phir bhi nam hamara aaya shoalon ko bhaDkane mein

rang-e-bahaaran bu-e-gulistan un ki kahani ke unwan
zikr KHizaon ka milta hai mere hi afsane mein

apne hi sar tohmat le li diwane ne danista
jaane kya majburi hogi sachchi baat batane mein

nafrat ki diwaren Dha den pyar ke aangan mein baiThen
barbaadi hi barbaadi hai nahaq KHun bahane mein

(551) ووٹ وصول ہوئے

You can read Dariya Sahil Tufan Dekhe Waqt Ke Aane Jaane Mein written by Arman Akbarabadi at UrduPoint. Dariya Sahil Tufan Dekhe Waqt Ke Aane Jaane Mein is one of the masterpieces written by Arman Akbarabadi. You can also find the complete poetry collection of Arman Akbarabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arman Akbarabadi' above.

Dariya Sahil Tufan Dekhe Waqt Ke Aane Jaane Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dariya Sahil Tufan Dekhe Waqt Ke Aane Jaane Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.