Bashar Ke Faiz-e-sohbat Se Liyaqat Aa Hi Jati Hai, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Bashar Ke Faiz-e-sohbat Se Liyaqat Aa Hi Jati Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Bashar Ke Faiz-e-sohbat Se Liyaqat Aa Hi Jati Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bashar Ke Faiz-e-sohbat Se Liyaqat Aa Hi Jati Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بشر کے فیض صحبت سے لیاقت آ ہی جاتی ہے

ارشد علی خان قلق

بشر کے فیض صحبت سے لیاقت آ ہی جاتی ہے

پری زادوں کو آخر آدمیت آ ہی جاتی ہے

جوانی سے دیا وہ ہوتے ہیں غافل ضعیفی میں

نسیم صبح چلتی ہے تو غفلت آ ہی جاتی ہے

کلید قفل مشکل ہوتی ہے داد و دہش آخر

سخی کے ایک دن آڑے سخاوت آ ہی جاتی ہے

رقیب اس شوخ سے جب گرمیاں کرتے ہیں محفل میں

نہیں قابو میں دل رہتا حرارت آ ہی جاتی ہے

ہمیں بھی یاد کر لیتے ہیں وہ بھولے سے صحبت میں

کبھی ہم بے نصیبوں کی بھی نوبت آ ہی جاتی ہے

طبیعت کو نہ کیوں کر غیر کے مضمون سے نفرت ہو

کہ جھوٹی چیز سے اکثر کراہت آ ہی جاتی ہے

بجا کہتے ہیں جو کہتے ہیں یہ خدمت سے عظمت ہے

کہ کام انساں کے اک دن ریاضت آ ہی جاتی ہے

عجب سر گرم کوشش ہو مقدر میں جو ہوتی ہے

تو ہاتھ انساں کے اک روز دولت آ ہی جاتی ہے

تأسف کرتے ہیں وہ دیکھ کر میرا دل ویراں

خرابے پر گزرتے ہیں تو غیرت آ ہی جاتی ہے

دبایا جب رقیبوں کو تو بولے یار کیا کہنا

جو ارباب حیا ہیں ان کو غیرت آ ہی جاتی ہے

حسینوں کو ہی زیبا حسن صورت پر غرور اپنے

ہر اک ارباب دولت کو رعونت آ ہی جاتی ہے

عجب شے ہے خوشی بھی سن کے وصل یار کا مژدہ

مریض ہجر کے چہرے پہ وحشت آ ہی جاتی ہے

چھپانے سے نہیں چھپتا ہے حسن دل کش عالم

کہیں ہو دیکھنے میں اچھی صورت آ ہی جاتی ہے

سکھا دیتا ہے اقبال آدمی کو نیک و بد آخر

یہ دولت ہے وہ شے شان ریاست آ ہی جاتی ہے

توجہ منعموں کی نفع سے خالی نہیں ہوتی

ہوائے گوشۂ دامان دولت آ ہی جاتی ہے

ستم دیدہ جو ہیں وہ ذکر آفت سے بھی ڈرتے ہیں

قلقؔ نام شب فرقت سے دہشت آ ہی جاتی ہے

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bashar Ke Faiz-e-sohbat Se Liyaqat Aa Hi Jati Hai

Arshad Ali Khan Qalaq

bashar ke faiz-e-sohbat se liyaqat aa hi jati hai
pari-zadon ko aaKHir aadamiyat aa hi jati hai

jawani se diya wo hote hain ghafil zaifi mein
nasim-e-subh chalti hai to ghaflat aa hi jati hai

kilid-e-qufl mushkil hoti hai dad-o-dahish aaKHir
saKHi ke ek din aaDe saKHawat aa hi jati hai

raqib us shoKH se jab garmiyan karte hain mahfil mein
nahin qabu mein dil rahta hararat aa hi jati hai

hamein bhi yaad kar lete hain wo bhule se sohbat mein
kabhi hum be-nasibon ki bhi naubat aa hi jati hai

tabiat ko na kyunkar ghair ke mazmun se nafrat ho
ki jhuTi chiz se aksar karahat aa hi jati hai

baja kahte hain jo kahte hain ye KHidmat se azmat hai
ki kaam insan ke ek din riyazat aa hi jati hai

ajab sar-garm-e-koshish ho muqaddar mein jo hoti hai
to hath insan ke ek roz daulat aa hi jati hai

tassuf karte hain wo dekh kar mera dil-e-viran
KHarabe par guzarte hain to ghairat aa hi jati hai

dabaya jab raqibon ko to bole yar kya kahna
jo arbab-e-haya hain un ko ghairat aa hi jati hai

hasinon ko hi zeba husn-e-surat par ghurur apne
har ek arbab-e-daulat ko raunat aa hi jati hai

ajab shai hai KHushi bhi sun ke wasl-e-yar ka muzhda
mariz-e-hijr ke chehre pe wahshat aa hi jati hai

chhupane se nahin chhupta hai husn-e-dil-kash-e-alam
kahin ho dekhne mein achchhi surat aa hi jati hai

sikha deta hai iqbaal aadmi ko nek-o-bad aaKHir
ye daulat hai wo shai shan-e-riyasat aa hi jati hai

tawajjoh munimon ki nafa se KHali nahin hoti
hawa-e-gosha-e-daman-e-daulat aa hi jati hai

sitam-dida jo hain wo zikr-e-afat se bhi Darte hain
'qalaq' nam-e-shab-e-furqat se dahshat aa hi jati hai

(667) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bashar Ke Faiz-e-sohbat Se Liyaqat Aa Hi Jati Hai written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Bashar Ke Faiz-e-sohbat Se Liyaqat Aa Hi Jati Hai is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Bashar Ke Faiz-e-sohbat Se Liyaqat Aa Hi Jati Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bashar Ke Faiz-e-sohbat Se Liyaqat Aa Hi Jati Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.