Ishq Mein Tere Jaan-e-zar Haif Hai Muft Mein Chali, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Ishq Mein Tere Jaan-e-zar Haif Hai Muft Mein Chali is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Ishq Mein Tere Jaan-e-zar Haif Hai Muft Mein Chali comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ishq Mein Tere Jaan-e-zar Haif Hai Muft Mein Chali on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عشق میں تیرے جان زار حیف ہے مفت میں چلی

ارشد علی خان قلق

عشق میں تیرے جان زار حیف ہے مفت میں چلی

تو نے پر او ستم شعار اب بھی مری خبر نہ لی

کوئی بلا پھر آئے گی مفت میں جان جائے گی

پیچ میں ہم کو لائے گی زلف سیاہ بڑھ چلی

آتے ہی فصل دل پذیر بولے قفس میں ہم صفیر

جس میں ہوئے تھے ہم اسیر لو وہی پھر ہوا چلی

اے گل گلشن وفا بے ترے نیند آئے کیا

بستر خار سے سوا مجھ کو ہے فرش مخملی

خواہش جستجوئے یار حد سے بھی کچھ تھی بے شمار

بعد فنا مرا غبار ڈھونڈھ پھرا گلی گلی

دانش و طاقت و بصر بڑھ گئے سارے ہم سفر

زاد سفر کی فکر کر لگ رہی ہے چلا چلی

لاؤ پیالۂ شراب گھر کے پھر آیا ہے سحاب

اب نہیں میرے دل کو تاب باد بہار پھر چلی

اے مہ آسمان جاہ تجھ سا نہیں ہے کج کلاہ

لے کے فلک چراغ ماہ ڈھونڈھ پھرا گلی گلی

موئے سفید آ گیا دھبا خضاب کا لگا

فصل شباب بے وفا داغ فراق دے چلی

کبک کا دل ہوا فگار مور نے جاں کی نثار

تیغ خرام ناز یار چال نئی نئی چلی

بھول کے کوئی دوستو چاہے نہ ان حسینوں کو

اب یہ ڈھنڈھورا پھیر دو لکھنؤ میں گلی گلی

گو تھی اک آگ مشتعل جی تھا پر ایسا مضمحل

شمع لحد بھی مثل دل گاہ بجھی کبھی جلی

کہتا ہے شوخ تند خو تاب نہیں دماغ کو

باعث درد سر نہ ہو بوے لباس صندلی

سوگ میں اپنے زار کے یار وفا شعار کے

مہندی چھوئی نہ ہاتھ سے مسی نہ مدتوں ملی

ہجر کی شب تھی کیا غضب حد کے سہے غم و تعب

صبح وصال آئی اب جان بچی بلا ٹلی

کوئی نسیم صبح سے میری طرف سے یہ کہے

باغ مراد کی مرے کھل نہ سکی کوئی کلی

کیا ترے ہاتھ آ گیا کب کا تجھے غبار تھا

کوئے صنم سے کیوں صبا خاک مری اڑا چلی

دل ہے بس اب الم سے شق یاس سے رنگ رخ ہے فق

دیکھیں گے ہم کب اے قلقؔ آنکھوں سے مرقد علی

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ishq Mein Tere Jaan-e-zar Haif Hai Muft Mein Chali

Arshad Ali Khan Qalaq

ishq mein tere jaan-e-zar haif hai muft mein chali
tu ne par o sitam-shiar ab bhi meri KHabar na li

koi bala phir aaegi muft mein jaan jaegi
pech mein hum ko laegi zulf-e-siyah baDh chali

aate hi fasl-e-dil-pazir bole qafas mein ham-safir
jis mein hue the hum asir lo wahi phir hawa chali

ai gul-e-gulshan-e-wafa be-tire nind aae kya
bistar-e-KHar se siwa mujh ko hai farsh-e-maKHmali

KHwahish-e-justaju-e-yar had se bhi kuchh thi be-shumar
baad-e-fana mera ghubar DhunDh phira gali gali

danish-o-taqat-o-basar baDh gae sare ham-safar
zad-e-safar ki fikr kar lag rahi hai chala-chali

lao pyala-e-sharab ghir ke phir aaya hai sahab
ab nahin mere dil ko tab baad-e-bahaar phir chali

ai mah-e-asman-jah tujh sa nahin hai kaj-kulah
le ke falak charagh-e-mah DhunDh phira gali gali

mu-e-safed aa gaya dhabba KHizab ka laga
fasl-e-shaba-e-be-wafa dagh-e-firaq de chali

kabk ka dil hua figar mor ne jaan ki nisar
tegh-e-KHiram-e-naz-e-yar chaal nai nai chali

bhul ke koi dosto chahe na un hasinon ko
ab ye DhinDhora pher do lucknow mein gali gali

go thi ek aag mushtail ji tha par aisa muzmahil
sham-e-lahad bhi misl-e-dil gah bujhi kabhi jali

kahta hai shoKH-e-tund-KHu tab nahin dimagh ko
bais-e-dard-e-sar na ho bu-e-libas-e-sandali

sog mein apne zar ke yar-e-wafa-shiar ke
mehndi chhui na hath se missi na muddaton mali

hijr ki shab thi kya ghazab had ke sahe gham-o-tab
subh-e-visal aai ab jaan bachi bala Tali

koi nasim-e-subh se meri taraf se ye kahe
bagh-e-murad ki mere khil na saki koi kali

kya tere hath aa gaya kab ka tujhe ghubar tha
ku-e-sanam se kyun saba KHak meri uDa chali

dil hai bas ab alam se shaq yas se rang ruKH hai faq
dekhenge hum kab ai 'qalaq' aankhon se marqad-e-ali

(600) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ishq Mein Tere Jaan-e-zar Haif Hai Muft Mein Chali written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Ishq Mein Tere Jaan-e-zar Haif Hai Muft Mein Chali is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Ishq Mein Tere Jaan-e-zar Haif Hai Muft Mein Chali is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ishq Mein Tere Jaan-e-zar Haif Hai Muft Mein Chali, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.