Na Wo KHushbu Hai Gulon Mein Na KHalish Khaaron Mein, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Na Wo KHushbu Hai Gulon Mein Na KHalish Khaaron Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Na Wo KHushbu Hai Gulon Mein Na KHalish Khaaron Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Wo KHushbu Hai Gulon Mein Na KHalish Khaaron Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ وہ خوشبو ہے گلوں میں نہ خلش خاروں میں

ارشد علی خان قلق

نہ وہ خوشبو ہے گلوں میں نہ خلش خاروں میں

اک ترے آتے ہی خاک اڑ گئی گلزاروں میں

چشم و ابرو و مژہ یار کی ہیں درپئے جاں

ایک دل گھر گیا ہے اتنے دل آزاروں میں

مرض ہجر سے بچتا نہیں بے داروئے وصل

ہے یہ آزار بڑا عشق کے آزاروں میں

تجھ کو زیبندہ ہے کیا سادگی اور رنگینی

ایک طرحدار ہے تو لاکھ طرح داروں میں

پھر گئی میری نظر میں مژہ و چشم تری

دیدۂ آبلہ دیکھا جو گھرا خاروں میں

بے گناہوں کی ہیں ابروۓ سیہ تشنہ خوں

نئے جوہر نظر آئے تری تلواروں میں

عاشق خال ملیح اپنا سمجھ کر بولے

کہ ہمارے یہ قدیمی ہیں نمک خواروں میں

ناوک آہ نے پیدا کی رہ آمد و رفت

سیکڑوں بن گئے در یار کی دیواروں میں

یوسف دل کو حسینوں سے سوا سمجھے عزیز

پھیر دیتا یہ ڈھنڈھورا کوئی بازاروں میں

نام رکھنے کی بھی اٹھ جائے اسے کیفیت

دم بھر آ بیٹھے جو واعظ کوئی مے خواروں میں

آمد فصل بہاری کا جو ہنگامہ ہے

غل ہے توبہ شکنی کا ترے مے خواروں میں

قلقؔ اتنی نہیں ہر وقت کوئی بچ کرتا

آپ بھی حضرت دل کے ہیں طرف داروں میں

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Wo KHushbu Hai Gulon Mein Na KHalish Khaaron Mein

Arshad Ali Khan Qalaq

na wo KHushbu hai gulon mein na KHalish KHaron mein
ek tere aate hi KHak uD gai gulzaron mein

chashm-o-abru-o-miza yar ki hain darpai jaan
ek dil ghir gaya hai itne dil-azaron mein

maraz-e-hijr se bachta nahin be-daru-e-wasl
hai ye aazar baDa ishq ke aazaron mein

tujh ko zebinda hai kya sadgi aur rangini
ek trahdar hai tu lakh tarah-daron mein

phir gai meri nazar mein mizha-o-chashm teri
dida-e-abla dekha jo ghira KHaron mein

be-gunahon ki hain abru-e-siyah tishna-KHun
nae jauhar nazar aae teri talwaron mein

aashiq-e-KHal-e-malih apna samajh kar bole
ki hamare ye qadimi hain namak-KHwaron mein

nawak-e-ah ne paida ki rah-e-amad-o-raft
saikDon ban gae dar yar ki diwaron mein

yusuf-e-dil ko hasinon se siwa samjhe aziz
pher deta ye DhinDhora koi bazaron mein

nam rakhne ki bhi uTh jae use kaifiyyat
dam-bhar aa baiThe jo waiz koi mai-KHwaron mein

aamad-e-fasl-e-bahaari ka jo hangama hai
ghul hai tauba-shikani ka tere mai-KHwaron mein

'qalaq' itni nahin har waqt koi bach karta
aap bhi hazrat-e-dil ke hain taraf-daron mein

(603) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Wo KHushbu Hai Gulon Mein Na KHalish Khaaron Mein written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Na Wo KHushbu Hai Gulon Mein Na KHalish Khaaron Mein is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Na Wo KHushbu Hai Gulon Mein Na KHalish Khaaron Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Wo KHushbu Hai Gulon Mein Na KHalish Khaaron Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.