Sair Karte Use Dekha Hai Jo Bazaron Mein, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Sair Karte Use Dekha Hai Jo Bazaron Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Sair Karte Use Dekha Hai Jo Bazaron Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sair Karte Use Dekha Hai Jo Bazaron Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سیر کرتے اسے دیکھا ہے جو بازاروں میں

ارشد علی خان قلق

سیر کرتے اسے دیکھا ہے جو بازاروں میں

مشورے ہوتے ہیں یوسف کے خریداروں میں

چاہتے ہیں کہ کوئی غیرت یوسف پھنس جائے

کس قدر کھوٹے کھرے بنتے ہیں بازاروں میں

دو قدم چل کے جو تو چال دکھا دے اپنی

ٹھوکریں کھاتے پھریں کبک بھی کہساروں میں

خون عشاق سے لازم ہے یہ پرہیز کریں

کہ شمار آپ کی آنکھوں کا ہے بیماروں میں

شیخ کعبہ ہو دیا برہمن بتخانہ

ایک ہی کے در یہ دونوں ہیں پرستاروں میں

دیکھیے کتنے خریدار ہیں کیا اٹھنا ہے

جنس دل بھیج کے ان کو کوئی ہے بازاروں میں

فصل گل آئی خزاں بھی ہوئے گلزار مگر

طائر دل ہے ہنوز ان کے گرفتاروں میں

سیر کے واسطے نکلا جو وہ رشک یوسف

بند رستے ہوئے ٹھٹ لگ گئے بازاروں میں

یہ نیا یار کی سرکار میں دیکھا انصاف

بے گنہ بھی گنے جاتے ہیں گنہ گاروں میں

کہیں ڈھونڈے سے بھی ملتے تھے نہ ارباب کمال

جن دنوں قدر شناسی تھی خریداروں میں

تیغ قاتل کے گلے ملتے ہیں خوش ہو ہو کر

عید قرباں ہے محبت کے گنہگاروں میں

کسی امن سے نہ الجھا نہ ہوئی صحبت گل

اے ضعیفی تن زار اپنا ہے ان خاروں میں

قلقؔ اثبات دہن منہ کو نہ کھلوائے کہیں

ہے بڑی بات اگر بات رہی یاروں میں

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sair Karte Use Dekha Hai Jo Bazaron Mein

Arshad Ali Khan Qalaq

sair karte use dekha hai jo bazaron mein
mashware hote hain yusuf ke KHaridaron mein

chahte hain ki koi ghairat-e-yusuf phans jae
kis qadar khoTe khare bante hain bazaron mein

do-qadam chal ke jo tu chaal dikha de apni
Thokaren khate phiren kabk bhi kohsaron mein

KHun-e-ushshaq se lazim hai ye parhez karen
ki shumar aap ki aankhon ka hai bimaron mein

shaiKH-e-kaba ho diya barhaman-e-but-KHana
ek hi ke dar ye donon hain parastaron mein

dekhiye kitne KHaridar hain kya uThna hai
jins dil bhej ke un ko koi hai bazaron mein

fasl-e-gul aai KHizan bhi hue gulzar magar
tair-e-dil hai hunuz un ke giraftaron mein

sair ke waste nikla jo wo rashk-e-yusuf
band raste hue ThaT lag gae bazaron mein

ye naya yar ki sarkar mein dekha insaf
be-gunah bhi gine jate hain gunahgaron mein

kahin DhunDe se bhi milte the na arbab-e-kamal
jin dinon qadr-shanasi thi KHaridaron mein

tegh-e-qatil ke gale milte hain KHush ho ho kar
id-e-qurban hai mohabbat ke gunah-garon mein

kisi amn se na uljha na hui sohbat-e-gul
ai zaifi tan-e-zar apna hai un KHaron mein

'qalaq' isbaat-e-dahan munh ko na khulwae kahin
hai baDi baat agar baat rahi yaron mein

(570) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sair Karte Use Dekha Hai Jo Bazaron Mein written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Sair Karte Use Dekha Hai Jo Bazaron Mein is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Sair Karte Use Dekha Hai Jo Bazaron Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sair Karte Use Dekha Hai Jo Bazaron Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.