Waiz Ki Zid Se Rindon Ne Rasm-e-jadid Ki, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Waiz Ki Zid Se Rindon Ne Rasm-e-jadid Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Waiz Ki Zid Se Rindon Ne Rasm-e-jadid Ki comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Waiz Ki Zid Se Rindon Ne Rasm-e-jadid Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

واعظ کی ضد سے رندوں نے رسم جدید کی

ارشد علی خان قلق

واعظ کی ضد سے رندوں نے رسم جدید کی

یعنی مہ صیام کی پہلی کو عید کی

مرنے کے بعد بھی یہ تمنا تھی دید کی

آنکھیں ہوئیں نہ بند تمہارے شہید کی

پھر جنس دل نہ اپنی کسی نے خرید کی

سچ ہے کہ قدر کچھ نہیں مال مزید کی

یہ وقت چشم پوشیٔ اہل وفا نہیں

جان آنکھوں میں ہے یار ترے محو دید کی

مسی دہان تنگ کی دیکھی تو شک ہوا

انگشتری ہے کوئی نگین حدید کی

وہ شوخ جنگجو جو ہمارے گلے ملا

ماتم مخالفوں نے محبوں نے عید کی

عالم ہے چشم شوق کا ہر ایک ذرے میں

برباد خاک ہے یہ کسی محو دید کی

کیا بے نقط سنائی ہیں اس طفل شوق نے

قاصد نے نامہ دے کے طلب جب رسید کی

کیوں وہ سوال وصل کا دیتے نہیں جواب

حاجت ہے ان کے قفل دہن کو کلید کی

غصے سے آگ ہو کے ہوئے تر پسینے میں

عطر بہار حسن کی اپنے کشید کی

کس روز میں نے مصحف رخسار مس کیا

جھوٹی نہ قسمیں کھاؤ کلام مجید کی

دیکھے نہ پیر زال جہاں کو اٹھا کے آنکھ

مردوں میں آبرو نہیں کچھ زن مرید کی

بے شبہ اے قلقؔ سگ دنیا ہے وہ بشر

جس نے بہ دل اطاعت نفس پلید کی

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Waiz Ki Zid Se Rindon Ne Rasm-e-jadid Ki

Arshad Ali Khan Qalaq

waiz ki zid se rindon ne rasm-e-jadid ki
yani mah-e-siyam ki pahli ko id ki

marne ke baad bhi ye tamanna thi did ki
aankhen huin na band tumhaare shahid ki

phir jins-e-dil na apni kisi ne KHarid ki
sach hai ki qadr kuchh nahin mal-e-mazid ki

ye waqt-e-chashm-e-poshi-e-ahl-e-wafa nahin
jaan aankhon mein hai yar tere mahw-e-did ki

missi dahan-e-tang ki dekhi to shak hua
angushtari hai koi nagin-e-hadid ki

wo shoKH jang-ju jo hamare gale mila
matam muKHalifon ne muhibbon ne id ki

aalam hai chashm-e-shauq ka har ek zarre mein
barbaad KHak hai ye kisi mahw-e-did ki

kya be-nuqat sunai hain us tifl-e-shauq ne
qasid ne nama de ke talab jab rasid ki

kyun wo sawal-e-wasl ka dete nahin jawab
hajat hai un ke qufl-e-dahan ko kalid ki

ghusse se aag ho ke hue tar pasine mein
itr-e-bahaar husn ki apne kashid ki

kis roz main ne mushaf-e-ruKHsar mas kiya
jhuTi na qasmen khao kalam-e-majid ki

dekhe na pir-zal jahan ko uTha ke aankh
mardon mein aabru nahin kuchh zan-murid ki

be-shubah ai 'qalaq' sag-e-duniya hai wo bashar
jis ne ba-dil itaat-e-nafs-e-palid ki

(703) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Waiz Ki Zid Se Rindon Ne Rasm-e-jadid Ki written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Waiz Ki Zid Se Rindon Ne Rasm-e-jadid Ki is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Waiz Ki Zid Se Rindon Ne Rasm-e-jadid Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Waiz Ki Zid Se Rindon Ne Rasm-e-jadid Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.