Talatum Hai Na Jaan-lewa Bhanwar Hai, Urdu Ghazal By Arshad Kamal

Talatum Hai Na Jaan-lewa Bhanwar Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Kamal. Talatum Hai Na Jaan-lewa Bhanwar Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Talatum Hai Na Jaan-lewa Bhanwar Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تلاطم ہے نہ جاں لیوا بھنور ہے

ارشد کمال

تلاطم ہے نہ جاں لیوا بھنور ہے

کہ بہر مصلحت اب مستقر ہے

در صیاد پر برپا ہے ماتم

قفس میں جب سے ذکر بال و پر ہے

تکلم کا کرشمہ اب دکھا دو

تمہاری خامشی میں شور و شر ہے

کروں کیا آرزوئے سرفرازی

کہ جب نیزے پہ ہر پل میرا سر ہے

ملی مہلت تو دل میں جھانک لوں گا

ابھی تو ذہن پر میری نظر ہے

چڑھے دریا میں ٹوٹی ناؤ کھینا

کہانی زندگی کی مختصر ہے

اگر سودا رہے سر میں تو ارشدؔ

ہر اک دیوار کے سینے میں در ہے

ارشد کمال

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Talatum Hai Na Jaan-lewa Bhanwar Hai

Arshad Kamal

talatum hai na jaan-lewa bhanwar hai
ki bahr-e-maslahat ab mustaqar hai

dar-e-sayyaad par barpa hai matam
qafas mein jab se zikr-e-baal-o-par hai

takallum ka karishma ab dikha do
tumhaari KHamushi mein shor-o-shar hai

karun kya aarzu-e-sarfaraazi
ki jab neze pe har pal mera sar hai

mili mohlat to dil mein jhank lunga
abhi to zehn par meri nazar hai

chaDhe dariya mein TuTi naw khena
kahani zindagi ki muKHtasar hai

agar sauda rahe sar mein to 'arshad'
har ek diwar ke sine mein dar hai

(756) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Talatum Hai Na Jaan-lewa Bhanwar Hai written by Arshad Kamal at UrduPoint. Talatum Hai Na Jaan-lewa Bhanwar Hai is one of the masterpieces written by Arshad Kamal. You can also find the complete poetry collection of Arshad Kamal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Kamal' above.

Talatum Hai Na Jaan-lewa Bhanwar Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Talatum Hai Na Jaan-lewa Bhanwar Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.