Ayan Hai Be-ruKHi Chitwan Se Aur Ghussa Nigahon Se, Urdu Ghazal By Arzoo Lakhnavi

Ayan Hai Be-ruKHi Chitwan Se Aur Ghussa Nigahon Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arzoo Lakhnavi. Ayan Hai Be-ruKHi Chitwan Se Aur Ghussa Nigahon Se comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ayan Hai Be-ruKHi Chitwan Se Aur Ghussa Nigahon Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عیاں ہے بے رخی چتون سے اور غصہ نگاہوں سے

آرزو لکھنوی

عیاں ہے بے رخی چتون سے اور غصہ نگاہوں سے

پیام خامشی اور وہ بھی دو دو نشر گاہوں سے

وبال جاں ہے ایسی زندگی جس میں تلاطم ہو

مٹا لوں حوصلے پھر توبہ کر لوں گا گناہوں سے

فضا محدود کب ہے اے دل وحشی فلک کیسا

نلاہٹ ہے نظر کی دیکھتے ہیں جو نگاہوں سے

حقیقت میں نگاہوں سے کوئی منزل نہیں بچتی

گزرتے دیکھے ہیں گوشہ نشیں تک شاہراہوں سے

تہی دستان قسمت کو نہ لینا تھا نہ دینا تھا

حساب زندگی کیا ہے یہ پوچھو بادشاہوں سے

ہمیں تو جلتے دل کی روشنی میں آگے بڑھنا ہے

ہٹا دو قمقمے بجلی کے نا ہموار راہوں سے

مرے نالوں کے سب شاکی کوئی ان کو نہیں کہتا

کھرچتے رہتے ہیں جو زخم دل خونی نگاہوں سے

پلا دو زہر غم دل کو نہ چھوڑے گر ہوس کاری

گنہ وہ ایک اچھا جو بچا لے سو گناہوں سے

ہمیں کچھ آرزوؔ پھیر ان کی باتوں کا سمجھتے ہیں

جو حق پوشی میں سچ کو جھوٹ کرتے ہیں گواہوں سے

آرزو لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ayan Hai Be-ruKHi Chitwan Se Aur Ghussa Nigahon Se

Arzoo Lakhnavi

ayan hai be-ruKHi chitwan se aur ghussa nigahon se
payam-e-KHamushi aur wo bhi do do nashr-gahon se

wabaal-e-jaan hai aisi zindagi jis mein talatum ho
miTa lun hausle phir tauba kar lunga gunahon se

faza mahdud kab hai ai dil-e-wahshi falak kaisa
nilahaT hai nazar ki dekhte hain jo nigahon se

haqiqat mein nigahon se koi manzil nahin bachti
guzarte dekhe hain gosha-nashin tak shah-rahon se

tahi-dastan-e-qismat ko na lena tha na dena tha
hisab-e-zindagi kya hai ye puchho baadshahon se

hamein to jalte dil ki raushni mein aage baDhna hai
haTa do qumqume bijli ke na-hamwar rahon se

mere nalon ke sab shaki koi un ko nahin kahta
khurachte rahte hain jo zaKHm-e-dil KHuni nigahon se

pila do zahr-e-gham dil ko na chhoDe gar hawas-kari
gunah wo ek achchha jo bacha le sau gunahon se

hamin kuchh 'arzu' pher un ki baaton ka samajhte hain
jo haq-poshi mein sach ko jhuT karte hain gawahon se

(530) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ayan Hai Be-ruKHi Chitwan Se Aur Ghussa Nigahon Se written by Arzoo Lakhnavi at UrduPoint. Ayan Hai Be-ruKHi Chitwan Se Aur Ghussa Nigahon Se is one of the masterpieces written by Arzoo Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Arzoo Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arzoo Lakhnavi' above.

Ayan Hai Be-ruKHi Chitwan Se Aur Ghussa Nigahon Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ayan Hai Be-ruKHi Chitwan Se Aur Ghussa Nigahon Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.