Kisi Guman-o-yaqin Ki Had Mein Wo ShoKH-e-parda-nashin Nahin Hai, Urdu Ghazal By Arzoo Lakhnavi

Kisi Guman-o-yaqin Ki Had Mein Wo ShoKH-e-parda-nashin Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arzoo Lakhnavi. Kisi Guman-o-yaqin Ki Had Mein Wo ShoKH-e-parda-nashin Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kisi Guman-o-yaqin Ki Had Mein Wo ShoKH-e-parda-nashin Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسی گمان و یقین کی حد میں وہ شوخ پردہ نشیں نہیں ہے

آرزو لکھنوی

کسی گمان و یقین کی حد میں وہ شوخ پردہ نشیں نہیں ہے

جہاں نہ سمجھو اسی جگہ ہے جہاں سمجھ لو وہیں نہیں ہے

تمہارا وعدہ ہے کیسا وعدہ کہ جس کا دل کو یقیں نہیں ہے

نگین بے نقش تو ہزاروں یہ نقش ہے اور نگیں نہیں ہے

تصوروں کے فریب اٹھا کر مشاہدہ وہم بن رہا ہے

نظر نے کھائے ہیں اتنے دھوکے کہ دیکھ کر بھی یقیں نہیں ہے

تلون اک جزر و مد ہے خود ہی تھپیڑوں میں آ پھنسی ہے کشتی

خبر ہے مدت کے ڈوبے دل کی کہ آج تک تہہ نشیں نہیں ہے

یہ کہتی ہے گردش زمانہ قدم تھمیں گے نہ اب کسی جا

ہے یہ بھی اک آسماں کا ٹکڑا تری گلی کی زمیں نہیں ہے

وفا کی حامی حمیت ان کی حریف امید غیرت ان کی

نگاہیں اقرار کر رہی ہیں زباں پہ لیکن نہیں نہیں ہے

ہوا جو اک دل کا داغ روشن تو ہو گئے کل چراغ روشن

خیال روشن دماغ روشن بس اب اندھیرا کہیں نہیں ہے

سرشک خونیں کا کل فسانہ لپیٹ رکھا ہے اک ورق میں

نچوڑنے پر لہو نہ ٹپکے تو آستیں آستیں نہیں ہے

ہماری ناکامیٔ وفا نے زمانے کی کھول دی ہیں آنکھیں

چراغ کب کا بجھا پڑا ہے مگر اندھیرا کہیں نہیں ہے

مجھی پہ کیا ہے نہیں ہے کس میں یہ بت تراشی یہ بت پرستی

اگر نہ حسن نظر سے دیکھو تو کوئی بھی پھر حسیں نہیں ہے

رہ اطاعت میں آرزوؔ نے قدم قدم پہ کئے ہیں سجدے

جو آپ کا نقش پا نہیں ہے وہ اس کا نقش جبیں نہیں ہے

آرزو لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kisi Guman-o-yaqin Ki Had Mein Wo ShoKH-e-parda-nashin Nahin Hai

Arzoo Lakhnavi

kisi guman-o-yaqin ki had mein wo shoKH-e-parda-nashin nahin hai
jahan na samho usi jagah hai jahan samajh lo wahin nahin hai

tumhaara wada hai kaisa wada ki jis ka dil ko yaqin nahin hai
nagin-e-be-naqsh to hazaron ye naqsh hai aur nagin nahin hai

tasawwuron ke fareb uTha kar mushahida wahm ban raha hai
nazar ne khae hain itne dhoke ki dekh kar bhi yaqin nahin hai

talawwun ek jazr-o-mad hai KHud hi thapeDon mein aa phansi hai kashti
KHabar hai muddat ke Dube dil ki ki aaj tak tah-nashin nahin hai

ye kahti hai gardish-e-zamana qadam thamenge na ab kisi ja
hai ye bhi ek aasman ka TukDa teri gali ki zamin nahin hai

wafa ki hami hamiyyat un ki harif-e-ummid ghairat un ki
nigahen iqrar kar rahi hain zaban pe lekin nahin nahin hai

hua jo ek dil ka dagh raushan to ho gae kul charagh raushan
KHayal raushan dimagh raushan bas ab andhera kahin nahin hai

sarishk-e-KHunin ka kul fasana lapeT rakha hai ek waraq mein
nichoDne par lahu na Tapke to aastin aastin nahin hai

hamari nakaami-e-wafa ne zamane ki khol di hain aankhen
charagh kab ka bujha paDa hai magar andhera kahin nahin hai

mujhi pe kya hai nahin hai kis mein ye but-tarashi ye but-parasti
agar na husn-e-nazar se dekho to koi bhi phir hasin nahin hai

rah-e-itaat mein 'arzu' ne qadam qadam pe kiye hain sajde
jo aap ka naqsh-e-pa nahin hai wo us ka naqsh-e-jabin nahin hai

(916) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kisi Guman-o-yaqin Ki Had Mein Wo ShoKH-e-parda-nashin Nahin Hai written by Arzoo Lakhnavi at UrduPoint. Kisi Guman-o-yaqin Ki Had Mein Wo ShoKH-e-parda-nashin Nahin Hai is one of the masterpieces written by Arzoo Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Arzoo Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arzoo Lakhnavi' above.

Kisi Guman-o-yaqin Ki Had Mein Wo ShoKH-e-parda-nashin Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kisi Guman-o-yaqin Ki Had Mein Wo ShoKH-e-parda-nashin Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.