Wada Sachcha Hai Ki JhuTa Mujhe Malum Na Tha, Urdu Ghazal By Arzoo Lakhnavi

Wada Sachcha Hai Ki JhuTa Mujhe Malum Na Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arzoo Lakhnavi. Wada Sachcha Hai Ki JhuTa Mujhe Malum Na Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wada Sachcha Hai Ki JhuTa Mujhe Malum Na Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وعدہ سچا ہے کہ جھوٹا مجھے معلوم نہ تھا

آرزو لکھنوی

وعدہ سچا ہے کہ جھوٹا مجھے معلوم نہ تھا

کل بدل جائے گی دنیا مجھے معلوم نہ تھا

حسن ہے مشغلۂ ظلم کو گہرا پردہ

پس پردہ ہے اندھیرا مجھے معلوم نہ تھا

عشق وہ شے ہے کہ چرکے بھی مزہ دیتے ہیں

ورنہ قاتل ہیں حسیں کیا مجھے معلوم نہ تھا

دل کی ضد اس لئے رکھ لی تھی کہ آ جائے قرار

کل یہ کچھ اور کہے گا مجھے معلوم نہ تھا

جھوٹی امیدوں نے کیا کیا نہ ہرے باغ لگائے

وقت جھونکا ہے ہوا کا مجھے معلوم نہ تھا

جتنے قسمت کے سہارے تھے وہ جھوٹے نکلے

ہے بندھی مٹھیوں میں کیا مجھے معلوم نہ تھا

برسوں بھٹکا کیا اور پھر بھی نہ ان تک پہونچا

گھر تو معلوم تھا رستہ مجھے معلوم نہ تھا

راز غم فاش نہ ہو اس لئے روکی تھی زباں

چپ بھی رہ کر یہی ہوگا مجھے معلوم نہ تھا

دل مزے لیتا ہے جس غم کے وہ ہے کاہش جاں

زہر بھی ہوتا ہے میٹھا مجھے معلوم نہ تھا

عشق آباد کے ناکے ہی سے رخصت ہوئے ہوش

ہے یہ دیوانوں کی دنیا مجھے معلوم نہ تھا

ہوگا امروز کی صورت میں ظہور فردا

وعدہ یوں روز ٹلے گا مجھے معلوم نہ تھا

آرزو ہاں بھی حسینوں کی نہیں ہوتی ہے

ان کی ہر بات ہے دھوکا مجھے معلوم نہ تھا

آرزو لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wada Sachcha Hai Ki JhuTa Mujhe Malum Na Tha

Arzoo Lakhnavi

wada sachcha hai ki jhuTa mujhe malum na tha
kal badal jaegi duniya mujhe malum na tha

husn hai mashghala-e-zulm ko gahra parda
pas-e-parda hai andhera mujhe malum na tha

ishq wo shai hai ki charke bhi maza dete hain
warna qatil hain hasin kya mujhe malum na tha

dil ki zid is liye rakh li thi ki aa jae qarar
kal ye kuchh aur kahega mujhe malum na tha

jhuTi ummidon ne kya kya na hare bagh lagae
waqt jhonka hai hawa ka mujhe malum na tha

jitne qismat ke sahaare the wo jhuTe nikle
hai bandhi muTThiyon mein kya mujhe malum na tha

barson bhaTka kiya aur phir bhi na un tak pahuncha
ghar to malum tha rasta mujhe malum na tha

raaz-e-gham fash na ho is liye roki thi zaban
chup bhi rah kar yahi hoga mujhe malum na tha

dil maze leta hai jis gham ke wo hai kahish-e-jaan
zahr bhi hota hai miTha mujhe malum na tha

ishq-abaad ke nake hi se ruKHsat hue hosh
hai ye diwanon ki duniya mujhe malum na tha

hoga imroz ki surat mein zuhur-e-farda
wada yun roz Talega mujhe malum na tha

aarzu han bhi hasinon ki nahin hoti hai
in ki har baat hai dhoka mujhe malum na tha

(705) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wada Sachcha Hai Ki JhuTa Mujhe Malum Na Tha written by Arzoo Lakhnavi at UrduPoint. Wada Sachcha Hai Ki JhuTa Mujhe Malum Na Tha is one of the masterpieces written by Arzoo Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Arzoo Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arzoo Lakhnavi' above.

Wada Sachcha Hai Ki JhuTa Mujhe Malum Na Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wada Sachcha Hai Ki JhuTa Mujhe Malum Na Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.