To Phir Ye Dekha, Urdu Nazam By Asad Mohammad Khan

To Phir Ye Dekha is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Asad Mohammad Khan. To Phir Ye Dekha comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read To Phir Ye Dekha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تو پھر یہ دیکھا

اسد محمد خاں

تو پھر یہ دیکھا کہ روشنی کے حصار میں ایک دیو قامت شجر کھڑا ہے

کہ جس نے شانوں پہ بے شمار شاخیں اٹھا رکھی ہیں

کہ بے شمار شاخوں پہ ان گنت کونپلیں کھڑی ہیں

جو اپنی آنکھوں کی نرمیوں سے نمو کا اعجاز دیکھتی ہیں

اور اپنی زندہ سماعتوں میں

لہو کی آواز سن رہی ہیں

تو پھر یہ دیکھا

نہ کوئی کونپل نہ وہ شجر ہے

بس ایک میں ہوں کہ بے نمو ہوں

اور اک ازل ہوں

بس ایک میں ہوں کہ بے نیابت ہوں

اور ابد ہوں

بس ایک میں ہوں

کہ زرد مٹی میں پنڈلیوں تک دھنسا ہوا ہوں

اسد محمد خاں

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

To Phir Ye Dekha

Asad Mohammad Khan

to phir ye dekha ki raushni ke hisar mein ek dew-qamat shajar khaDa hai
ki jis ne shanon pe be-shumar shaKHen uTha rakhi hain
ki be-shumar shaKHon pe an-ginat konplen khaDi hain
jo apni aankhon ki narmiyon se numu ka eajaz dekhti hain
aur apni zinda samaaton mein
lahu ki aawaz sun rahi hain
to phir ye dekha
na koi konpal na wo shajar hai
bas ek main hun ki be-numu hun
aur ek azal hun
bas ek main hun ki be-niyabat hun
aur abad hun

bas ek main hun
ki zard miTTi mein pinDliyon tak dhansa hua hun

(734) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read To Phir Ye Dekha written by Asad Mohammad Khan at UrduPoint. To Phir Ye Dekha is one of the masterpieces written by Asad Mohammad Khan. You can also find the complete poetry collection of Asad Mohammad Khan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Asad Mohammad Khan' above.

To Phir Ye Dekha is a widely read Urdu Nazam. If you like To Phir Ye Dekha, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.