In Aql Ke Bandon Mein Aashufta-sari Kyun Hai, Urdu Ghazal By Asad Multani

In Aql Ke Bandon Mein Aashufta-sari Kyun Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Asad Multani. In Aql Ke Bandon Mein Aashufta-sari Kyun Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read In Aql Ke Bandon Mein Aashufta-sari Kyun Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ان عقل کے بندوں میں آشفتہ سری کیوں ہے

اسد ملتانی

ان عقل کے بندوں میں آشفتہ سری کیوں ہے

یہ تنگ دلی کیوں ہے یہ کم نظری کیوں ہے

اسرار اگر سمجھے دنیا کی ہر اک شے کے

خود اپنی حقیقت سے یہ بے خبری کیوں ہے

سو جلوے ہیں نظروں سے مانند نظر پنہاں

دعویٔ جہاں بینی اے دیدہ وری کیوں ہے

حل جن کا عمل سے ہے پیکار و جدل سے ہے

ان زندہ مسائل پر بحث نظری کیوں ہے

تو دیکھ ترے دل میں ہے سوز طلب کتنا

مت پوچھ دعاؤں میں یہ بے اثری کیوں ہے

اے گل جو بہار آئی ہے وقت خود آرائی

یہ رنگ جنوں کیسا یہ جامہ دری کیوں ہے

واعظ کو جو عادت ہے پیچیدہ بیانی کی

حیراں ہے کہ رندوں کی ہر بات کھری کیوں ہے

ملتا ہے اسے پانی اشکوں کی روانی ہے

معلوم ہوا کھیتی زخموں کی ہری کیوں ہے

الفت کو اسدؔ کتنا آسان سمجھتا تھا

اب نالۂ شب کیوں ہے آہ سحری کیوں ہے

اسد ملتانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

In Aql Ke Bandon Mein Aashufta-sari Kyun Hai

Asad Multani

in aql ke bandon mein aashufta-sari kyun hai
ye tang-dili kyun hai ye kam-nazari kyun hai

asrar agar samjhe duniya ki har ek shai ke
KHud apni haqiqat se ye be-KHabari kyun hai

sau jalwe hain nazron se manind-e-nazar pinhan
dawa-e-jahan-bini ai dida-wari kyun hai

hal jin ka amal se hai paikar-o-jadal se hai
in zinda masail par bahs-e-nazari kyun hai

to dekh tere dil mein hai soz-e-talab kitna
mat puchh duaon mein ye be-asari kyun hai

ai gul jo bahaar aai hai waqt-e-KHud-arai
ye rang-e-junun kaisa ye jama-dari kyun hai

waiz ko jo aadat hai pechida-bayani ki
hairan hai ki rindon ki har baat khari kyun hai

milta hai use pani ashkon ki rawani hai
malum hua kheti zaKHmon ki hari kyun hai

ulfat ko 'asad' kitna aasan samajhta tha
ab nala-e-shab kyun hai aah-e-sahari kyun hai

(1213) ووٹ وصول ہوئے

You can read In Aql Ke Bandon Mein Aashufta-sari Kyun Hai written by Asad Multani at UrduPoint. In Aql Ke Bandon Mein Aashufta-sari Kyun Hai is one of the masterpieces written by Asad Multani. You can also find the complete poetry collection of Asad Multani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Asad Multani' above.

In Aql Ke Bandon Mein Aashufta-sari Kyun Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like In Aql Ke Bandon Mein Aashufta-sari Kyun Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.