Apna Hi Aks Nazar Aae Jise Bhi Dekhun, Urdu Ghazal By Asar Ansari

Apna Hi Aks Nazar Aae Jise Bhi Dekhun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Asar Ansari. Apna Hi Aks Nazar Aae Jise Bhi Dekhun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Apna Hi Aks Nazar Aae Jise Bhi Dekhun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اپنا ہی عکس نظر آئے جسے بھی دیکھوں

اثر انصاری

اپنا ہی عکس نظر آئے جسے بھی دیکھوں

خود سے فرصت نہیں ملتی کہ تجھے بھی دیکھوں

کتنی حسرت ہے کہ تسکین نظر کی خاطر

رہ کے میں اپنے حواسوں میں اسے بھی دیکھوں

وقت کے ساتھ اسالیب سخن بدلے ہیں

کیوں نہ موضوع سخن اور نئے بھی دیکھوں

اپنی ہی ذات میں گم ہو کے نہ رہ جاؤں کہیں

زندگی کا جو تقاضا ہے اسے بھی دیکھوں

ساتھ کھیلے ہوئے بچپن کے بہت ہیں لیکن

اجنبی سب نظر آتے ہیں جسے بھی دیکھوں

آبرو کچھ تو مری دیدہ وری کی رہ جائے

تجھ کو جب چاہوں جہاں چاہوں چھپے بھی دیکھوں

کس کی تقدیر میں ہے دار و رسن کا منصب

خوش نصیب ایسا کوئی ہے تو اسے بھی دیکھوں

آنکھ روشن ہے اگر دل نہیں روشن تو اثرؔ

کس طرح عالم امکاں سے پرے بھی دیکھوں

اثر انصاری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Apna Hi Aks Nazar Aae Jise Bhi Dekhun

Asar Ansari

apna hi aks nazar aae jise bhi dekhun
KHud se fursat nahin milti ki tujhe bhi dekhun

kitni hasrat hai ki taskin-e-nazar ki KHatir
rah ke main apne hawason mein use bhi dekhun

waqt ke sath asalib-e-suKHan badle hain
kyon na mauzu-e-suKHan aur nae bhi dekhun

apni hi zat mein gum ho ke na rah jaun kahin
zindagi ka jo taqaza hai use bhi dekhun

sath khele hue bachpan ke bahut hain lekin
ajnabi sab nazar aate hain jise bhi dekhun

aabru kuchh to meri dida-wari ki rah jae
tujh ko jab chahun jahan chahun chhupe bhi dekhun

kis ki taqdir mein hai dar-o-rasan ka mansab
KHush-nasib aisa koi hai to use bhi dekhun

aankh raushan hai agar dil nahin raushan to 'asar'
kis tarah aalam-e-imkan se pare bhi dekhun

(721) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Apna Hi Aks Nazar Aae Jise Bhi Dekhun written by Asar Ansari at UrduPoint. Apna Hi Aks Nazar Aae Jise Bhi Dekhun is one of the masterpieces written by Asar Ansari. You can also find the complete poetry collection of Asar Ansari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Asar Ansari' above.

Apna Hi Aks Nazar Aae Jise Bhi Dekhun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Apna Hi Aks Nazar Aae Jise Bhi Dekhun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.