Na Aaenge LauT Kar Wo Phir Bhi Main Umr Bhar Intizar Kar Lun, Urdu Ghazal By Aseer Jabalpuri

Na Aaenge LauT Kar Wo Phir Bhi Main Umr Bhar Intizar Kar Lun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aseer Jabalpuri. Na Aaenge LauT Kar Wo Phir Bhi Main Umr Bhar Intizar Kar Lun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Aaenge LauT Kar Wo Phir Bhi Main Umr Bhar Intizar Kar Lun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ آئیں گے لوٹ کر وہ پھر بھی میں عمر بھر انتظار کر لوں

اسیر جبلپوری

نہ آئیں گے لوٹ کر وہ پھر بھی میں عمر بھر انتظار کر لوں

ادھر تو آ اے غم محبت تجھے ہی جی بھر کے پیار کر لوں

نہ جانے کب تک ڈھلے شب غم نہ جانے صبح امید کب ہو

قدم قدم پر بچھا لوں تارے نفس نفس شعلہ بار کر لوں

کبھی عیادت ہوئی نہ اس سے کبھی کسی سے نہ حال پوچھا

مریض غم پر وہ مہرباں ہے یہ کیسے میں اعتبار کر لوں

ابھی سلامت ہے عزم محکم ابھی ہے باقی لہو رگوں میں

الٹ کے رکھ دوں نظام گلشن خزاں بہ رنگ بہار کر لوں

ذرا ٹھہر اے جنون الفت تو لے چلا ہے کہاں ابھی سے

متاع دل جب لٹا چکا ہوں تو جاں بھی ان پر نثار کر لوں

یہیں بچھڑ کے میں رو پڑا تھا یہیں ہے بھیگا زمیں کا آنچل

یہیں پھر اس سے ملن بھی ہوگا یہیں پہ میں انتظار کر لوں

نہیں ہے باقی اگر پتنگے تو رہ کے تنہا اداس ہوگی

لحد سے اٹھ کر اسیرؔ میں ہی طواف شمع مزار کر لوں

اسیر جبلپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Aaenge LauT Kar Wo Phir Bhi Main Umr Bhar Intizar Kar Lun

Aseer Jabalpuri

na aaenge lauT kar wo phir bhi main umr bhar intizar kar lun
idhar to aa ai gham-e-mohabbat tujhe hi ji bhar ke pyar kar lun

na jaane kab tak Dhale shab-e-gham na jaane subh-e-umid kab ho
qadam qadam par bichha lun tare nafas nafas shoala-bar kar lun

kabhi ayaadat hui na us se kabhi kisi se na haal puchha
mariz-e-gham par wo mehrban hai ye kaise main eatibar kar lun

abhi salamat hai azm-e-mohkam abhi hai baqi lahu ragon mein
ulaT ke rakh dun nizam-e-gulshan KHizan ba-rang-e-bahaar kar lun

zara Thahar ai junun-e-ulfat tu le chala hai kahan abhi se
mata-e-dil jab luTa chuka hun to jaan bhi un par nisar kar lun

yahin bichhaD ke main ro paDa tha yahin hai bhiga zamin ka aanchal
yahin phir us se milan bhi hoga yahin pe main intizar kar lun

nahin hai baqi agar patange to rah ke tanha udas hogi
lahad se uTh kar 'asir' main hi tawaf-e-shama-e-mazar kar lun

(575) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Aaenge LauT Kar Wo Phir Bhi Main Umr Bhar Intizar Kar Lun written by Aseer Jabalpuri at UrduPoint. Na Aaenge LauT Kar Wo Phir Bhi Main Umr Bhar Intizar Kar Lun is one of the masterpieces written by Aseer Jabalpuri. You can also find the complete poetry collection of Aseer Jabalpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aseer Jabalpuri' above.

Na Aaenge LauT Kar Wo Phir Bhi Main Umr Bhar Intizar Kar Lun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Aaenge LauT Kar Wo Phir Bhi Main Umr Bhar Intizar Kar Lun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.