Mere Dil Mein Jangal Hai, Urdu Nazam By Asghar Nadeem Sayed

Mere Dil Mein Jangal Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Asghar Nadeem Sayed. Mere Dil Mein Jangal Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Mere Dil Mein Jangal Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میرے دل میں جنگل ہے

اصغر ندیم سید

میرے دل میں جنگل ہے

اور اس میں بھیڑیا رہتا ہے

جو رات کو میری آنکھوں میں آ جاتا ہے

اور سارے منظر کھا جاتا ہے

صبح کو سورج اپنے پیالے سے شبنم ٹپکاتا ہے

اور دن کا بچہ

میری روح کے جھولے میں رکھ جاتا ہے

میرے دل میں جنگل ہے

اور اس میں فاختہ رہتی ہے

جو اپنے پروں سے میرے لئے

اک پرچم بنتی رہتی ہے

اور خوشبو سے اک نغمہ لکھتی رہتی ہے

پھر تھک کر میرے بالوں میں سو جاتی ہے

میرے دل میں جنگل ہے

اور اس میں جوگی رہتا ہے

جو میرے خون سے اپنی شراب بناتا ہے

اور اپنے ستار میں چھپی ہوئی لڑکی کو

پاس بلاتا ہے

پھر جنگل بوسہ بن جاتا ہے

میرے دل میں جنگل ہے

اور اس میں بھولا بھٹکا زخمی شہزادہ ہے

جس کا لشکر

خون کی دھار پہ اس کے پیچھے آتا ہے

وہ اپنے وطن کے نقشے کو زخموں پہ باندھ کے

آخری خطبہ دیتا ہے

پھر مر جاتا ہے

میرے دل میں جنگل ہے

اور اس میں گہری خاموشی ہے

اصغر ندیم سید

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mere Dil Mein Jangal Hai

Asghar Nadeem Sayed

mere dil mein jangal hai
aur us mein bheDiya rahta hai
jo raat ko meri aankhon mein aa jata hai
aur sare manzar kha jata hai
subh ko suraj apne pyale se shabnam Tapkata hai
aur din ka bachcha
meri ruh ke jhule mein rakh jata hai
mere dil mein jangal hai
aur us mein faKHta rahti hai
jo apne paron se mere liye
ek parcham bunti rahti hai
aur KHushbu se ek naghma likhti rahti hai
phir thak kar mere baalon mein so jati hai
mere dil mein jangal hai
aur us mein jogi rahta hai
jo mere KHun se apni sharab banata hai
aur apne sitar mein chhupi hui laDki ko
pas bulata hai
phir jangal bosa ban jata hai
mere dil mein jangal hai
aur is mein bhula-bhaTka zaKHmi shahzada hai
jis ka lashkar
KHun ki dhaar pe us ke pichhe aata hai
wo apne watan ke naqshe ko zaKHmon pe bandh ke
aaKHiri KHutba deta hai
phir mar jata hai
mere dil mein jangal hai
aur us mein gahri KHamoshi hai

(659) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mere Dil Mein Jangal Hai written by Asghar Nadeem Sayed at UrduPoint. Mere Dil Mein Jangal Hai is one of the masterpieces written by Asghar Nadeem Sayed. You can also find the complete poetry collection of Asghar Nadeem Sayed by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Asghar Nadeem Sayed' above.

Mere Dil Mein Jangal Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Mere Dil Mein Jangal Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.