Mohabbat Ki Nazm, Urdu Nazam By Asghar Nadeem Sayed

Mohabbat Ki Nazm is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Asghar Nadeem Sayed. Mohabbat Ki Nazm comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Mohabbat Ki Nazm on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محبت کی نظم

اصغر ندیم سید

میری باتیں جیسے دھوپ ہو سرما کی دالانوں میں

برفیں تیری خاموشی کی

جن کے نیچے ہاتھ ہمارے مضبوطی سے جڑے ہوئے ہیں

ساری بستیاں میرے تیرے قیام کو ترسیں

ہم مہمان بنیں تو ان کی بوڑھی گائیں

خشک تھنوں سے دودھ اتاریں

ان کے بچے اپنے باپ کا کہنا مانیں

ان کے پرندے چھتوں پہ بیٹھ کے پر پھیلائیں

ہم دونوں کو بڑی بوڑھیاں چھوڑنے آئیں دروازوں تک

میری باتیں جیسے سچ ہو ڈرے ہوئے بچوں کا

تیری خاموشی ہے جیسے دلہن مائیوں بیٹھے

سارے رستے میری تیری چاپ کو ترسیں

ہم آئیں تو رستے نشیب سے اٹھ کر

ہم دونوں کو دیکھیں

دور دور تک ہاتھ ہلائیں

خوشیاں چیت کے موسم جیسی

اور جو قسمیں ہم نے کھائیں

عاشق شہزادوں کے مقبروں جیسی ان میں سچائی ہے

جاناں بارش تھکی ہوئی ہے

اس کو اپنے بالوں اور مساموں میں سو جانے دو

میں دھوپ کا اک مشروب

تمہارے واسطے

سرما کے سورج سے مانگتا ہوں

اصغر ندیم سید

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mohabbat Ki Nazm

Asghar Nadeem Sayed

meri baaten jaise dhup ho sarma ki dalanon mein
barfen teri KHamoshi ki
jin ke niche hath hamare mazbuti se juDe hue hain
sari bastiyan mere tere qayam ko tarsen
hum mehman banen to un ki buDhi gaen
KHushk thanon se dudh utaren
un ke bachche apne bap ka kahna manen
un ke parinde chhaton pe baiTh ke par phailaen
hum donon ko baDi-buDhiyan chhoDne aaen darwazon tak
meri baaten jaise sach ho Dare hue bachchon ka
teri KHamoshi hai jaise dulhan maiyon baiThe
sare raste meri teri chap ko tarsen
hum aaen to raste nasheb se uTh kar
hum donon ko dekhen
dur dur tak hath hilaen
KHushiyan chait ke mausam jaisi
aur jo qasmen hum ne khain
aashiq shahzadon ke maqbaron jaisi un mein sachchai hai
jaanan barish thaki hui hai
us ko apne baalon aur masamon mein so jaane do
main dhup ka ek mashrub
tumhaare waste
sarma ke suraj se mangta hun

(649) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mohabbat Ki Nazm written by Asghar Nadeem Sayed at UrduPoint. Mohabbat Ki Nazm is one of the masterpieces written by Asghar Nadeem Sayed. You can also find the complete poetry collection of Asghar Nadeem Sayed by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Asghar Nadeem Sayed' above.

Mohabbat Ki Nazm is a widely read Urdu Nazam. If you like Mohabbat Ki Nazm, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.