TariKH Ek KHamosh Zamana, Urdu Nazam By Asghar Nadeem Sayed

TariKH Ek KHamosh Zamana is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Asghar Nadeem Sayed. TariKH Ek KHamosh Zamana comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read TariKH Ek KHamosh Zamana on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تاریخ ایک خاموش زمانہ

اصغر ندیم سید

یہ ساٹھ صدی کا قصہ ہے

یہ ساٹھ برس کی بات نہیں

تاریخ نے جب آنکھیں کھولیں

سب پانی تھا

پھر پانی پر تصویر بنی

تصویر زمیں پر پھیل گئی

اور اس پر بارش ٹوٹ پڑی

اک بیج کہیں پر

ساٹھ صدی کی آہٹ سے بیدار ہوا

جنگل بن کر پھیل گیا

وہیں کہیں پر میں بھی تھا

تم بھی تھیں

تاریخ نے دستک دی تھی

تاریخ اتری تھی دھرتی پر

وہ رات تھی پورن ماشی کی

پھر دھرتی ہی تاریخ بنی

تاریخ کوئی بندر تو نہیں

تاریخ کوئی چہرہ تو نہیں

تاریخ تو ایک سمندر ہے

جو پورن ماشی کی راتوں میں

پاگل ہو کر پھیلتا ہے

اور سب کو بہا لے جاتا ہے

تاریخ کوئی خاموش زمانہ ہوتا ہے

جو صدیوں تک موسم کی گود میں سوتا ہے

پھر کروٹ لے کر جاگتا ہے

ایسا مجھ کو

گوتمؔ بدھ نے گیان سمے سمجھایا تھا

اور یہ تو مجھ سے آخری آدمی نے پوچھا تھا

ارے میاں کس کھونٹ چلے ہو

ٹھہرو

یہ ساٹھ صدی کا قصہ ہے

کچھ اور نہیں ہے

اور میرے اندر تو ان صدیوں کی وہ گونج بسی ہے

جو اگلی کتنی صدیوں تک

پورن ماشی کی راتوں میں

آواز بنے گی

یہ ساٹھ صدی کا قصہ ہے

کچھ اور نہیں ہے

میرے اندر ساٹھ صدی کی گونج بسی ہے

میں اور تم اس گونج میں گیان کنارے

آ کر بیٹھ گئے تھے

تاریخ نے جب اس دھرتی پر بسرام کیا

جب قصہ گو کی لوری میں ہم سوتے تھے

اور چڑیوں کی چہکار میں آنکھیں کھولتے تھے

موسم کے مزاج میں رچی ہوئی باتوں میں

امرت گھولتے تھے

یہیں کہیں پر ہم تم

میرؔ اور میراؔ کے دکھ دل میں البم کرتے تھے

وہ دکھ تندور کی روٹی میں پک جاتے تھے

میری اور تمہاری ماں

وہ روٹی اپنے دل کے تندور سے لاتی تھی

پھر بھوک ہماری پہلے سے بڑھ جاتی تھی

میں اور تم تاریخ کے بیج سے پھوٹیں گے

اور گوتمؔ بدھ کے جنگل جیسی عمر میں ڈھل جائیں گے

اصغر ندیم سید

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

TariKH Ek KHamosh Zamana

Asghar Nadeem Sayed

ye saTh sadi ka qissa hai
ye saTh baras ki baat nahin
tariKH ne jab aankhen kholin
sab pani tha
phir pani par taswir bani
taswir zamin par phail gai
aur us par barish TuT paDi
ek bij kahin par
saTh sadi ki aahaT se bedar hua
jangal ban kar phail gaya
wahin kahin par main bhi tha
tum bhi thin
tariKH ne dastak di thi
tariKH utri thi dharti par
wo raat thi puran-mashi ki
phir dharti hi tariKH bani
tariKH koi bandar to nahin
tariKH koi chehra to nahin
tariKH to ek samundar hai
jo puran-mashi ki raaton mein
pagal ho kar phailta hai
aur sab ko baha le jata hai

tariKH koi KHamosh zamana hota hai
jo sadiyon tak mausam ki god mein sota hai
phir karwaT le kar jagta hai
aisa mujh ko
'gautam-budh' ne gyan samay samjhaya tha
aur ye to mujh se aaKHiri aadmi ne pucha tha
are miyan kis khunT chale ho
Thahro
ye saTh sadi ka qissa hai
kuchh aur nahin hai
aur mere andar to un sadiyon ki wo gunj basi hai
jo agli kitni sadiyon tak
puran-mashi ki raaton mein
aawaz banegi

ye saTh sadi ka qissa hai
kuchh aur nahin hai
mere andar saTh sadi ki gunj basi hai
main aur tum is gunj mein gyan kinare
aa kar baiTh gae the
tariKH ne jab is dharti par bisram kiya
jab qissa-go ki lori mein hum sote the
aur chiDiyon ki chahkar mein aankhen kholte the
mausam ke mizaj mein rachi hui baaton mein
amrit gholte the
yahin kahin par hum tum
'mir' aur 'mira' ke dukh dil mein album karte the
wo dukh tandur ki roTi mein pak jate the
meri aur tumhaari man
wo roTi apne dil ke tandur se lati thi
phir bhuk hamari pahle se baDh jati thi
main aur tum tariKH ke bij se phuTenge
aur 'gautam-budh' ke jangal jaisi umr mein Dhal jaenge

(706) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read TariKH Ek KHamosh Zamana written by Asghar Nadeem Sayed at UrduPoint. TariKH Ek KHamosh Zamana is one of the masterpieces written by Asghar Nadeem Sayed. You can also find the complete poetry collection of Asghar Nadeem Sayed by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Asghar Nadeem Sayed' above.

TariKH Ek KHamosh Zamana is a widely read Urdu Nazam. If you like TariKH Ek KHamosh Zamana, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.