Thahre Hue Mausam Ki Ek Nazm, Urdu Nazam By Asghar Nadeem Sayed

Thahre Hue Mausam Ki Ek Nazm is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Asghar Nadeem Sayed. Thahre Hue Mausam Ki Ek Nazm comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Thahre Hue Mausam Ki Ek Nazm on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ٹھہرے ہوئے موسم کی ایک نظم

اصغر ندیم سید

کبھی منہ سے آواز ہاتھوں سے قسمت اور آنکھوں سے پہلی مسرت کا پانی گرے

تو اسے مت اٹھانا

کبھی رات کی شال سے چاند سالوں کی مٹھی سے خوشبو زمینوں کی جھولی سے خوراک

اور دل سے قربت کی خواہش گرے

تو اسے اٹھانا

کبھی شام کے گھونسلے سے پرندہ فجر سے عبادت کا چوغا پہاڑوں سے

سرما کا پہلا مینہ گرے

تو اسے مت اٹھانا

کبھی آسمانوں سے حرف مناجات شاہین کی آنکھوں سے آنسو ہواؤں

سے لمبے سفر کی حکایت

غلاموں کے دامن سے آزاد صبحوں کی ساعت گرے

تو اسے مت اٹھانا

کبھی پاؤں سے حوصلہ آم کے پیڑ سے بور بچوں کی مٹھی سے لوری اور فصلوں پہ

پھیلی ہوئی دھوپ کٹ کر گرے

تو اسے مت اٹھانا

نگاہ اپنے دشمن پہ رکھنا

سفر کو امانت سمجھنا

اور اعصاب جھکنے نہ دینا

کہ سب چیزیں اپنے سے بہتر کو اپنی جگہ دے گئی ہیں

اصغر ندیم سید

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Thahre Hue Mausam Ki Ek Nazm

Asghar Nadeem Sayed

kabhi munh se aawaz hathon se qismat aur aankhon se pahli masarrat ka pani gire
to use mat uThana
kabhi raat ki shaal se chand salon ki muTThi se KHushbu zaminon ki jholi se KHurak
aur dil se qurbat ki KHwahish gire
to use uThana
kabhi sham ke ghonsle se parinda fajr se ibaadat ka chogha pahaDon se
sarma ka pahla meinh gire
to use mat uThana
kabhi aasmanon se harf-e-munajat shahin ki aankhon se aansu hawaon
se lambe safar ki hikayat
ghulamon ke daman se aazad subhon ki saat gire
to use mat uThana
kabhi panw se hausla aam ke peD se baur bachchon ki muTThi se lori aur faslon pe
phaili hui dhup kaT kar gire
to use mat uThana
nigah apne dushman pe rakhna
safar ko amanat samajhna
aur aasab jhukne na dena
ki sab chizen apne se behtar ko apni jagah de gai hain

(693) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Thahre Hue Mausam Ki Ek Nazm written by Asghar Nadeem Sayed at UrduPoint. Thahre Hue Mausam Ki Ek Nazm is one of the masterpieces written by Asghar Nadeem Sayed. You can also find the complete poetry collection of Asghar Nadeem Sayed by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Asghar Nadeem Sayed' above.

Thahre Hue Mausam Ki Ek Nazm is a widely read Urdu Nazam. If you like Thahre Hue Mausam Ki Ek Nazm, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.