Zamin Ek Nazm Hai, Urdu Nazam By Asghar Nadeem Sayed

Zamin Ek Nazm Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Asghar Nadeem Sayed. Zamin Ek Nazm Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Zamin Ek Nazm Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زمین ایک نظم ہے

اصغر ندیم سید

آسماں ٹھہرا ہوا نیلا سمندر

اور زمیں سوکھا ہوا دریا

پہاڑوں پر دسمبر آ چکا ہے

نیلگوں گہرا دسمبر

ندیاں برفوں کی چاندی میں چھپی ہیں

منصفوں جیسے معزز یہ پہاڑ اور ان کے ہمسایہ شجر

مرعوب کرتے ہیں

دیہاتی راستوں کے پھول کہتے ہیں

ہمیں گاؤ

نشیبی بستیوں کی گھاس کہتی ہے

ہمیں لکھو

پھٹے کپڑوں میں مخلص لڑکیاں کہتی ہیں

ہم بھی لفظ ہیں

ہم بھی صدا کا ذائقہ ہیں

آسماں ٹھہرا ہوا نیلا سمندر

دودھ پیتا میمنہ لفظ ہے

ساری زمیں پھیلی ہوئی اک نظم ہے

اور میں کبھی بارش

کبھی سوکھا ہوا دریا

کبھی آواز مخلص لڑکیوں کی

اصغر ندیم سید

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zamin Ek Nazm Hai

Asghar Nadeem Sayed

aasman Thahra hua nila samundar
aur zamin sukha hua dariya
pahaDon par december aa chuka hai
nilgun gahra december
naddiyan barfon ki chandi mein chhupi hain
munsifon jaise muazziz ye pahaD aur un ke ham-saya shajar
marub karte hain
dehati raston ke phul kahte hain
hamein gao
nashebi bastiyon ki ghas kahti hai
hamein likkho
phaTe kapDon mein muKHlis laDkiyan kahti hain
hum bhi lafz hain
hum bhi sada ka zaiqa hain
aasman Thahra hua nila samundar
dudh pita memna lafz hai
sari zamin phaili hui ek nazm hai
aur main kabhi barish
kabhi sukha hua dariya
kabhi aawaz muKHlis laDkiyon ki

(719) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zamin Ek Nazm Hai written by Asghar Nadeem Sayed at UrduPoint. Zamin Ek Nazm Hai is one of the masterpieces written by Asghar Nadeem Sayed. You can also find the complete poetry collection of Asghar Nadeem Sayed by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Asghar Nadeem Sayed' above.

Zamin Ek Nazm Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Zamin Ek Nazm Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.