Main Ba-wafa Hi Raha Rah Ke Be-wafaon Mein, Urdu Ghazal By Ashraf Gul

Main Ba-wafa Hi Raha Rah Ke Be-wafaon Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ashraf Gul. Main Ba-wafa Hi Raha Rah Ke Be-wafaon Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Ba-wafa Hi Raha Rah Ke Be-wafaon Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں با وفا ہی رہا رہ کے بے وفاؤں میں

اشرف گل

میں با وفا ہی رہا رہ کے بے وفاؤں میں

گل بہار کی صورت کھلا خزاؤں میں

بھری بہار میں دیکھے جو پھول جلتے ہوئے

رکے نہ اشکوں کے دریا مری گھٹاؤں میں

ہمارے ہاتھوں سے جب وقت کی گرہ نہ کھلی

تو لوگ سمجھے کہ ہم خوش ہیں ابتلاؤں میں

ترے حضور رہی قہقہوں پہ پابندی

رہا ہے خوف بھی رقصاں مری صداؤں میں

کرو نہ ساری مکدر فضا جہاں والو

مرے بھی حصے کی سانسیں ہیں ان ہواؤں میں

خلوص کی نہ چلی ایک بھی یہاں اشرفؔ

گنوایا وقت عبث ہم نے التجاؤں میں

اشرف گل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Ba-wafa Hi Raha Rah Ke Be-wafaon Mein

Ashraf Gul

main ba-wafa hi raha rah ke be-wafaon mein
gul-e-bahaar ki surat khila KHizaon mein

bhari bahaar mein dekhe jo phul jalte hue
ruke na ashkon ke dariya meri ghaTaon mein

hamare hathon se jab waqt ki girah na khuli
to log samjhe ki hum KHush hain ibtilaon mein

tere huzur rahi qahqahon pe pabandi
raha hai KHauf bhi raqsan meri sadaon mein

karo na sari mukaddar faza jahan walo
mere bhi hisse ki sansen hain in hawaon mein

KHulus ki na chali ek bhi yahan 'ashraf'
ganwaya waqt abas hum ne iltijaon mein

(1137) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Ba-wafa Hi Raha Rah Ke Be-wafaon Mein written by Ashraf Gul at UrduPoint. Main Ba-wafa Hi Raha Rah Ke Be-wafaon Mein is one of the masterpieces written by Ashraf Gul. You can also find the complete poetry collection of Ashraf Gul by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ashraf Gul' above.

Main Ba-wafa Hi Raha Rah Ke Be-wafaon Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Ba-wafa Hi Raha Rah Ke Be-wafaon Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.