Zindagani Se LipaT Kar KHud Ko Bahlata Hun Main, Urdu Ghazal By Asim Bakhshi

Zindagani Se LipaT Kar KHud Ko Bahlata Hun Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Asim Bakhshi. Zindagani Se LipaT Kar KHud Ko Bahlata Hun Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zindagani Se LipaT Kar KHud Ko Bahlata Hun Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زندگانی سے لپٹ کر خود کو بہلاتا ہوں میں

عاصم بخشی

زندگانی سے لپٹ کر خود کو بہلاتا ہوں میں

یہ کہانی روز اپنے آپ دہراتا ہوں میں

صبح دم میں کھولتا ہوں قفل جس زندان کا

دن ڈھلے اس قید خانے میں پلٹ آتا ہوں میں

پاٹتا رہتا ہوں دن بھر اک خلیج ذات کو

پھر کسی انجان اندیشے سے پچھتاتا ہوں میں

دن چڑھے اوہام کی منڈی میں سودا بیچ کر

رات کو افکار کے بستر پہ گر جاتا ہوں میں

اوڑھ لیتا ہوں میں چادر عقل و استدلال کی

داستانوں لوریوں سے خود کو بہلاتا ہوں میں

خواب میں اکثر کنارے چشمۂ امکان کے

مستیٔ حرف و سخن کی لے میں چکراتا ہوں میں

چھوڑتا ہوں ہاتھ اپنا شاہراہ شوق پر

منزل مقصود پر پھر خود کو مل جاتا ہوں میں

جب بھی ملتا ہوں خود اپنے آپ سے تنہائی میں

پوچھتا ہوں کیا گنوایا اور کیا پاتا ہوں میں

خود ہی کرتا ہوں تری یادیں میں ماضی کے سپرد

پھر کہیں سے ایک لمحہ ڈھونڈ کر لاتا ہوں میں

تجھ میں اکثر ڈھونڈھتا ہوں میں تجھے عاصمؔ مگر

تو کہاں ہے کون ہے کب کس کو سمجھاتا ہوں میں

عاصم بخشی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zindagani Se LipaT Kar KHud Ko Bahlata Hun Main

Asim Bakhshi

zindagani se lipaT kar KHud ko bahlata hun main
ye kahani roz apne aap dohraata hun main

subh-dam main kholta hun qufl jis zindan ka
din Dhale us qaid-KHane mein palaT aata hun main

paTta rahta hun din bhar ek KHalij-e-zat ko
phir kisi anjaan andeshe se pachhtata hun main

din chaDhe auham ki manDi mein sauda bech kar
raat ko afkar ke bistar pe gir jata hun main

oDh leta hun main chadar aql-o-istidlal ki
dastanon loriyon se KHud ko bahlata hun main

KHwab mein aksar kinare chashma-e-imkan ke
masti-e-harf-o-suKHan ki lai mein chakraata hun main

chhoDta hun hath apna shahrah-e-shauq par
manzil-e-maqsud par phir KHud ko mil jata hun main

jab bhi milta hun KHud apne aap se tanhai mein
puchhta hun kya ganwaya aur kya pata hun main

KHud hi karta hun teri yaaden main mazi ke sipurd
phir kahin se ek lamha DhunD kar lata hun main

tujh mein aksar DhunDhta hun main tujhe 'asim' magar
tu kahan hai kaun hai kab kis ko samjhata hun main

(847) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zindagani Se LipaT Kar KHud Ko Bahlata Hun Main written by Asim Bakhshi at UrduPoint. Zindagani Se LipaT Kar KHud Ko Bahlata Hun Main is one of the masterpieces written by Asim Bakhshi. You can also find the complete poetry collection of Asim Bakhshi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Asim Bakhshi' above.

Zindagani Se LipaT Kar KHud Ko Bahlata Hun Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zindagani Se LipaT Kar KHud Ko Bahlata Hun Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.