Har-su Dhuen Ka Raqs Hai Aaj Apne Ganw Mein, Urdu Ghazal By Aslam Azad

Har-su Dhuen Ka Raqs Hai Aaj Apne Ganw Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aslam Azad. Har-su Dhuen Ka Raqs Hai Aaj Apne Ganw Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har-su Dhuen Ka Raqs Hai Aaj Apne Ganw Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر سو دھوئیں کا رقص ہے آج اپنے گاؤں میں

اسلم آزاد

ہر سو دھوئیں کا رقص ہے آج اپنے گاؤں میں

جلتے لہو کی بو ہے سسکتی ہواؤں میں

منظر کو دیکھتے ہی وہ بے ہوش ہو گیا

جھانکا جو اس نے روح کی اندھی گپھاؤں میں

بستر پہ پچھلی رات عجب ماجرا ہوا

آنکھیں تھیں بند اڑتا رہا میں خلاؤں میں

ساحل کی ریت پر میں کھڑا سوچتا رہا

الجھا تھا میرا ذہن ندی کی ہواؤں میں

یوں تو مسافروں کی نہیں ہے کمی یہاں

ٹھہرا نہیں مگر کوئی دل کی سراؤں میں

اسلم آزاد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har-su Dhuen Ka Raqs Hai Aaj Apne Ganw Mein

Aslam Azad

har-su dhuen ka raqs hai aaj apne ganw mein
jalte lahu ki bu hai sisakti hawaon mein

manzar ko dekhte hi wo behosh ho gaya
jhanka jo us ne ruh ki andhi guphaon mein

bistar pe pichhli raat ajab majra hua
aankhen thin band uDta raha main KHalaon mein

sahil ki ret par main khaDa sochta raha
uljha tha mera zehn nadi ki hawaon mein

yun to musafiron ki nahin hai kami yahan
Thahra nahin magar koi dil ki saraon mein

(706) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har-su Dhuen Ka Raqs Hai Aaj Apne Ganw Mein written by Aslam Azad at UrduPoint. Har-su Dhuen Ka Raqs Hai Aaj Apne Ganw Mein is one of the masterpieces written by Aslam Azad. You can also find the complete poetry collection of Aslam Azad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aslam Azad' above.

Har-su Dhuen Ka Raqs Hai Aaj Apne Ganw Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har-su Dhuen Ka Raqs Hai Aaj Apne Ganw Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.