Jab Haq Dil-o-dimagh Mein Bharpur Rach Gaya, Urdu Ghazal By Aslam Haneef

Jab Haq Dil-o-dimagh Mein Bharpur Rach Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aslam Haneef. Jab Haq Dil-o-dimagh Mein Bharpur Rach Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jab Haq Dil-o-dimagh Mein Bharpur Rach Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جب حق دل و دماغ میں بھرپور رچ گیا

اسلم حنیف

جب حق دل و دماغ میں بھرپور رچ گیا

میرے قدم جہاں پڑے کہرام مچ گیا

ہر بار اس سے قوت اظہار چھن گیا

جب بھی میں اس کی بزم میں لے کر پہنچ گیا

میں نے تو اپنے در پہ لکھایا تھا اپنا نام

لیکن کوئی پڑوسی اسے بھی کھرچ گیا

دریا کی تہ چٹان کی زد کو بھی سہہ گئی

لیکن یہ کیا کہ سطح پہ اک شور مچ گیا

کل رات ان غریبوں کو قے کیوں نہ آ سکی

کھانا امیر شہر کا کیوں ان کو پچ گیا

اسلمؔ کرامتوں میں کروں گا شمار اگر

میرا خلوص تہمت یاراں سے بچ گیا

اسلم حنیف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jab Haq Dil-o-dimagh Mein Bharpur Rach Gaya

Aslam Haneef

jab haq dil-o-dimagh mein bharpur rach gaya
mere qadam jahan paDe kohram mach gaya

har bar us se quwwat-e-izhaar chhin gaya
jab bhi main us ki bazm mein le kar pahunch gaya

main ne to apne dar pe likhaya tha apna nam
lekin koi paDosi use bhi khurach gaya

dariya ki tah chaTan ki zad ko bhi sah gai
lekin ye kya ki sath pe ek shor mach gaya

kal raat un gharibon ko qai kyun na aa saki
khana amir-e-shahr ka kyun un ko pach gaya

'aslam' karamaton mein karunga shumar agar
mera KHulus tohmat-e-yaran se bach gaya

(767) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jab Haq Dil-o-dimagh Mein Bharpur Rach Gaya written by Aslam Haneef at UrduPoint. Jab Haq Dil-o-dimagh Mein Bharpur Rach Gaya is one of the masterpieces written by Aslam Haneef. You can also find the complete poetry collection of Aslam Haneef by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aslam Haneef' above.

Jab Haq Dil-o-dimagh Mein Bharpur Rach Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jab Haq Dil-o-dimagh Mein Bharpur Rach Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.