Shauq-e-nazar Gulab Se Bhi Mutmain Nahin, Urdu Ghazal By Ataul Hasan

Shauq-e-nazar Gulab Se Bhi Mutmain Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ataul Hasan. Shauq-e-nazar Gulab Se Bhi Mutmain Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shauq-e-nazar Gulab Se Bhi Mutmain Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شوق نظر گلاب سے بھی مطمئن نہیں

عطا الحسن

شوق نظر گلاب سے بھی مطمئن نہیں

چشم اداس خواب سے بھی مطمئن نہیں

کس عمر میں نہ جانے قناعت پسند ہو

یہ دل کہ دستیاب سے بھی مطمئن نہیں

اب تیرے خد و خال پہ کیا اکتفا کرے

یہ آنکھ ماہتاب سے بھی مطمئن نہیں

بس یوں ہی بے قراری کی لت میں ہوں مبتلا

ویسے میں اضطراب سے بھی مطمئن نہیں

میرے بھلے دنوں پہ بھی وہ معترض رہا

اب ساعت خراب سے بھی مطمئن نہیں

کتنوں کو راہ راست پہ لایا حسنؔ مگر

درویش اس ثواب سے بھی مطمئن نہیں

عطا الحسن

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shauq-e-nazar Gulab Se Bhi Mutmain Nahin

Ataul Hasan

shauq-e-nazar gulab se bhi mutmain nahin
chashm-e-udas KHwab se bhi mutmain nahin

kis umr mein na-jaane qanaat pasand ho
ye dil ki dastiyab se bhi mutmain nahin

ab tere KHadd-o-KHal pe kya iktifa kare
ye aankh mahtab se bhi mutmain nahin

bas yunhi be-qarari ki lat mein hun mubtala
waise main iztirab se bhi mutmain nahin

mere bhale dinon pe bhi wo mo'tariz raha
ab saat-e-KHarab se bhi mutmain nahin

kitnon ko rah-e-rast pe laya 'hasan' magar
darwesh is sawab se bhi mutmain nahin

(697) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shauq-e-nazar Gulab Se Bhi Mutmain Nahin written by Ataul Hasan at UrduPoint. Shauq-e-nazar Gulab Se Bhi Mutmain Nahin is one of the masterpieces written by Ataul Hasan. You can also find the complete poetry collection of Ataul Hasan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ataul Hasan' above.

Shauq-e-nazar Gulab Se Bhi Mutmain Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shauq-e-nazar Gulab Se Bhi Mutmain Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.